*YAZIID KI BAD-KAARIYAAN OR FISQ* *```▶Post-34```*

🔻Yaziid Amiir Muaawiya...alayhirrehmah...ka beta tha...Umaiya khaandaan ka wo bad-bakht insaan tha jiski peshaani par nawaasa e Rasool jigar gosha e Batuul Hazrat Imaame Husen k qatal ka kaala daagh hai jis par har zamaane mein log malaamat karte rahe or rehti dunya tak ayse hi malaamat karte rahenge.. Ye bad baatin or nange khaandaan 25 hijri me paida huwa...
      Yaziid bohot mota badnuma bad-khalq faasiq O faajir sharaabi bad-kaar zaalim or be adab o gustaakh tha...uski bad-kaariyaan or be hud-giyaan intiha ko pohonch gayi thi...

🔻Hazrat Abdullah bin Hanzala farmate hai..K... Yaziid par hamne us waqt hamle ki tayyaari ki jab ham logon ko khatra ho gaya k us ki bad-kaariyon k sabab ham par aasmaan se patthron ki baarish hogi..
      Isliye k fisq O fujoor ka ye haal tha k log apni maa..behnon or betiyon se nikaah karne lage the or sharabein pii jaa rahi thi..gunah aam ho gaye the or logon ne namaaz tak padhni chod di thi.

.....Sallallahu alayhi wasallam...
.....Radiyallahu taala anh...
.....Radiyallahu taala anha...

*📚TAARIKHUL KHULFA...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites