*KUFIYON K KHATON letters KI TAFSIL* *```▶Post-35```*

🔻Pehla khat jo koofiyon ki taraf se likkha gaya us me likha k hamaare sar par koi imaam nahi Aap tashriif laiye Allah taala Aapki barkat se hamko haq ki himaayat nasiib kare...
      Damishq ( damaascus ) ka governor Nomaan moujood hai magar ham us k saath namaaz e juma nahi padte na Eid-gaah jaate hai...
      Jab hamko pata chalega k Aap aa rahe hai to ham usko yahaan se nikaal kar mulke shaam ( siriya ) jaane par majboor kar denge...
      Pehla khat Abdullah hamdaani or abdullah bin daal k haathon rawaana kiya gaya Imaame Husen ki khidmat mein jo 10 ramzaan ko 60 hijri ko makka sarif pohncha...
      Fir 2 dinon mein is tarah k 3 alag alag logon k zariye 53 khutoot mile jin me har khat par 3..4 logon k sign hote the...fir kuch dinon k bad kuch khaas logon ki arziyaan mili...

🔻In khaton k madde nazar Imaame Husen ne ye faisla kiya k aik khat me un k jazbaat ka izhaar karte huwe Hazrate Muslim ko apna numaainda bana kar bhej diya....ye tay paya...nakki huwa k agar haalaat saazgaar huwe to mein khud bhi aa-jaaunga...

Ridwaanullahi taala alayhim ajmaiin

*📚TAARIIKHE TIBRI...*
*Jild...2...safa..177..178...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*


No comments:

Post a Comment

Our Social Sites