*IMAM KA KUFA JAANA KYUN ZARURI* *```▶Post-36```*

🔻Hazrat sadrul afaazil Naimuddin muraadaabaadi...alayhir rehmah...farmate hai k...Yaziid ki hukumat par bethne k baad awaam O khaas k diin O iimaan ki tabaahi ka khatra badh gaya or koofa waalon ka yaziid ki bay-at se inkaar or Imaame Husen se bay-at karne ki baat ne Imaame Husen par  laazim kar diya k unki darkhwaast ko qubool kare..

🔻Socho k Jab aik qaum zaalim or faasiq ki ba-yat par raazi na ho or Imaame Husen k jo us mansab ( kursi...rutba ) k sachche haqdaar bhi hai or agar wo qubool na karte or inkaar karte or qayamat k din Allah ki baargaah mein ye  kehte k ham to har tarah se Imaame Husen k saath the agar ye apna daste karam ( haath ) badha dete to ham apni jaanein qurbaan kar dete magar Imaame Husen raazi na huwe to baargaahe Ilaahi mein koofiyon k daaman pakadne par kya jawab hota....

🔻Isi wajah se Imaame Husen k liye koofiyon ki daawat par labbaik kehne k siwa koi chaara ( option ) na tha....

🔻Akaabir sahaaba Hazrate Abbaas....Ibne Umar...hazrate Jaabir... Hazrate Abu Saeed waghaira Imaame Husen k is faisle se ittifaaq nahi rakhte the or unko koofiyon ki zabaan ka bharosa na tha isliye wo Imaame Husen ko rokte the..
       Lekin Imaame Husen apni zimme daari or aakhirat mein Allah ki baargaah me jawaab dehi k madde nazar apni baat par jame rahe..
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

▪NOTE.... Wo log jo aaj yaziidi soch rakhte hai  karbala ki jang ko siyaasi jang ( political war ) kehte hain kya unko Imaame Husen k mansab ki zimmedaari ka ahsaas nahi...?
       Kaise hoga..?..Unki aankhon par to Imaame Husen ka bughz or yaziid ki chaahat ka kaala parda pada huwa hai...
      Allah Dil or Nazar ki pakiizgi or Ahle bait ki sachchi muhabbat hamare dilon me  salaamat rakkhe...

.....AAMIIN..AAMIIN..AAMIIN...
.....Sallallahu alayhi wasallam
.....Ridwanullahi taala ajmaiin

*📚TAARIIKHE TIBRI..J..2..Safa..178..*
*SAWAANAHE KARBALA..safa..87...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*





No comments:

Post a Comment

Our Social Sites