```IMAM MUSLUM UN K BETE RAWANA OR KOOFIYON KI BE-WAFAAII``` *```▶Post-44```*

🔻Hazrate Muslim apne do kam umar bachchon k saath Imaame Husen k numaainde ban kar koofa rawaana ho gaye or ye tay huwa k haalaat achche rahe to khat ( letter ) likenge...khat milne k baad hi Imaame Husen koofaa jayenge..

🔻Jab Aap koofa pohnche to log chaaron taraf se bade josh or aqidat se Aap k haath par bay-at karne lage...yahan tak k aik week k andar 12000 koofiyon ne Aap k haath par Imaame Husen ki bay-at ki...
      Ye haalaat dekh kar Imam Muslim ne Imaam Husen ko khat likh diya k koofa k log apni baat mein sachche hai Aap jaldi tasriif le aaein..
     Hazrat Nomaan bin bashir sahaabi e Rasool us waqt koofa k governor the.... Wo mimbar par chadhe or kaha....Logo ye bay-at yaziid ki marzi k khilaaf hai or is baat par wo bhadkega or fitna or fasaad bhadkaaega...
      Banu umaiya k abdullah ne Aapko kaha k ye maamla sakhti k baghair hal nahi hoga aap kamzor hai...Aap ne kaha k...
      Agar mein Allah ki farmabardaari k saath kamzor hun to muje manzur hai...Or izzat or taaqat wala banne k liye Allah ki naafarmani karun ye muje manzoor nahi....

🔻Banu umaiya k is fard ne yaziid ko khat likh diya...K agar koofa ko bachaana chaahta hai to kisi sakht aadmi ko haakim bana kar bhej ye Nomaan to kamzor hai ya kamzori dikha rahe hai...
      Yaziid palid ko khabar hui to gazabnaak huwa or ubaidullah ibne ziyaad ko koofa ka haakim bana kar bheja or kaha k....Muslim bin Aqiil ko sheher se tadipaar kar do or na maane to qatal kar do...Or Husen bin Ali aaye to unse bhi bayat maango or na maane to unko bhi qatal kar do...

🔻Ubaidullah ibne ziyaad ayse raaste se koofa mein daakhil huwa jis raaste par koofa waale Imaame Husen k muntazir the...
      Usne chehra chupa liya or sheher mein daakhil huwa koofa waale Imaame Husen samaj kar naare pukaarne lage....kuch duur chal kar logon ko pata chala k ye to ibne ziyaad hai to log maayus huwe apne gharon me waapas chale gaye...

🔻Subha ibne ziyaad ne logon ko jama kiya or kaha k yaziid ne muje koofa ka governor bana kar bheja hai to tum yaziid ki hukumat k khilaaf na jao to amaan me rahoge or khilaaf jaoge to darwaaze par tumhari laashein latkegi or tumhaare biwi bachchon par raham nahi kiya jaayega...
      Fir usne sheher k sarkardah logon k sab khandanon k aik aik sardaar ko bula kar unse likhwaaya k ham kisi bhi hukumat k mukhaalif ko apne ghar me panah nahi denge or jo aysa karega to qatal kar diya jayega...

🔻Ibne ziyaad ki is harkat se pure sheher k logon par khauf or dar chha gaya..or logon k khayalaat badalne lage...
       Or ye haalat dekh kar Hazrate Muslim raat k andhere mein Ahlebait k chahane waale k ghar sift ho gaye jinka naam Haani bin Orwah tha...
............ALLAHUAKBAR...........
...Ridwaanullahi taala anhum ajmaiin.

*📚TAARIKHE TIBRI...193*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites