🔹Hazrate Muslim ki talaash....Jaasusi.....Haani ki giraftaari...Governor house ka gheraaw.....koofiyon ki ghaddaari....
🔻Hazrate Muslim ki talaash shuru hui or shaami jaasus k zariye pata chala k wo Hazrat Haani k ghar theh-re huwe hai...jaasus aqidat mand ban kar wo roz haazri deta raha..
Aik din Hazrat Haani ko bulaya gaya or puucha gaya k Muslim kahan hai...aap inkaar karte rahe to us shaami ko bulaya gaya use dekh kar aap k hosh ud gaye...
Ibne ziyaad se ijaazat maangi k muje jaane do mein Hazrat Muslim ko apne ghar se nikaal dunga..ubaidulla ne aik na suni aap k chehre or sar dande maar maar kar lahu luhaan kar diya or qaid kar diya..
🔻Jab Hazrat Haani k nisbati ne kaiin hazaar logon k saath...jo hathiyaar k sath the...governor house ko gher liya..or pukaara k ham hukumat k baaghi nahi lekin hamaare sardaar ko chhod do or maar diya to ham badla lenge..
🔻Ibne ziyaad ghabraya or sheher qaazi ko bula kar Haani ko dikhaya or kaha k in k qabiile k logon ko khabar do k Haani zinda hai...kisi wajah se nazar qaid kiye gaye hai....qaazi sahab ne hukm par amal kiya or Haani k qabile waale chale gaye..
🔻Hazrat Muslim ko pata chala to baahar aa gaye apne chaahne waalon ko aawaaz di...jise sunkar lagbhag 40000 log jama ho gaye or shaahi qasr ko gher liya gaya...
Ye moqa tha k hamla kar dete to mutthi bhar sipaahiyon ko giraftaar kar k qabzaa kar lete lekin aapne aysa nahi kiya bl k gheraaw kiye rakkha or baatchit ki koshish jaari rakkhi k baatchit se maamla hal ho jaaye to musalmanon me aapas me khoon kharaaba na ho..
Lekin isi mohlat ka fayda utha kar ibne ziyaad ne koofa k wo log jo bade qabilon k sardaar the or qaid me the unko dhamkaaya k tum apne apne qabile k logon ko samjao k Muslim ka saath chhod dein warna me tum logon ko qatal kar dunga...
Un sardaaron ne aysa hi kiya or aik aik qabile khaandanon k log hatte gaye yahan tak k shaam hote hote jab Aapne maghrib ki namaaz shuru ki to sirf 500 log the or jab salaam phera to Aap k piiche aik bhi musalli na tha....
Hazrate Muslim masjid me tanha the or wo mehmaan khaane jahan se beth kar koofiyon ne khat likhe the bulane k un par bhi taale pade huwe the.... Chamanistaane Rasool ka ye phuul tanha ho chuke the...
............ALLAHU AKBAR...........
.....Sallallahu alayhi wasallam...
.....Ridwanillahi alayhim ajmaiin...
*📚TAARIKHE TIBRI...*
*SAWAANAHE KARBALA...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*

No comments:
Post a Comment