```HAZRATE MUSLIM KI SHAHAADAT``` *```▶Post-46```*

🔻Koofiyon ki be himmati or naamardi or be ghairati k Hazrat Muslim tanha ho gaye or kidhar jaayein kahan raat guzarein koofaa me 2...4...gaz zamiin Aap k liye nazar na aayi....
       Aapko Imaame Husen ki yaad ne tadpa diya....K meine Imaam ko koofa aane k liye khat likh diya hai or koofiyon ne saath chhod diya...Na jaane ye zaalim Imaame Husen k saath kya sulook karenge...

🔻Yaqiinan mere khat ko padh kar yahan aane ki tayyaari kar rahe honge..
      Yahi sochte sochte aik andheri gali se guzar rahe the or dekh rahe the k saare darwaaze band hai...k dekha k aik awrat apne darwaaze par bethi nazar aayi jiska naam taw-aa tha or apne bete ka intizaar kar rahi thi...aapne usse paani maanga us nek awrat ne Aapko paani pilaya jab wo glaas rakh kar waapas hui to Aapko khade dekh kar puucha Aap abhi tak gaye nahi...
      Aapne apna haale zaar sunaya or panah maangi or bataya k Mein Muslim bin aqiil hun...Sun kar foran Aapko apne ghar me le gayii or aik kamre me aap ko thera diya...
      Raat ko jab uska ladka aaya to usne apne ladke ko saara haal batakar rok diya k kisi ko bataana mat...ladka sharabi or aawaara tha...

🔻Subha usne hukumat k logon tak ye khabar dedi k Muslim mere ghar par hai...
      Foj ne us ghar ka muhaasra ( gheraaw ) kar liya gher liya or andar daakhil ho gayi Aapne muqaabla kiya or fojiyon ko baahar nikalne par mjboor kar diya..
       Aapki bahaaduri dekh kar wo log chhat par chadh gaye or Aap par patthar or aag phenkne lage jab Aapne ye buzdilaana andaaz dekha to baahar nikal kar jo baahar the un fojiyon se ladne lage to Aapse kaha gaya k ham aapko amaan dete hai ( matlab hathiyaar phenk do aapko ham jaanse maarenge nahi ) us dor k logon me amaan dekar kabhi koi apni zabaan k khilaaf nahi karta tha...
       Aapne muqaabla chhod kar apne aap ko un k hawale kar diya...raaste me Aapki talwar dhoke se chhiin li gayi..Aap maayuus ho gaye k kaash inki zabaan par bharosa na kiya hota..

🔻Aap ro pade...to aapko tanz kiya gaya k ab rote ho...Farmaya...Mein Apni jaan k liye nahi bl k Imaame Husen k liye ro raha hun or unki awlaad k liye ro raha hun k unko khat likh kar bula chuka hun...

🔻Aapke or ibne ziyaad k biichme mukaalma huwa us kamine ne Aap par ilzaam lagaya k Aap ki wajeh se koofa ka aman kharaab huwa Aapne farmaya...
      Meri wajah se nahi bl k yaziid ki bad kaariyon ki wajah se huwa...koofa k rehne waalon ne yaziid ki bad kaariyon se aajiz aakar Hamko bulaya or ab dhoka de diya...
       Ibne ziyaad bad nihaad ne Aapki ye be-baaki dekhi to bhadak gaya or jallaad ko hukm diya k  chhat par inhein le jaao or inki gardan utaar kar jism or sar dono ko niche pheik do k haddiyon ka bhi churma ho jaye.....
      .......ALLAHUAKBAR....
.....INNA LILLAHI WAINNA
.....ILAYHI RAAJIUUN
.....Radiyallahu taala anh

*📚TAARIKHE TIBRI...*
*SAWAANAHE KARBALA...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*



No comments:

Post a Comment

Our Social Sites