HAZRATE HAANI KI SHAHAADAT Post-47

🔹Hazrate Muslim ki shahaadat k baad Hazrate Haani jinhone apne ghar mein panaah di thi unki shahaadat...

🔻Hazrate Muslim ki shahaadat 3 zulhijja hijri 60 ko hui...
      Aapki shahaadat k baad koofaa walon par aysa khauf chha gaya k logon ne gharon se nikalna chhod diya har taraf sannaata chha gaya k aik dusre ki khabar na thi...
       Yahan tak k Hazrat Haani bin Urwah jin k qatal ka sun kar un k qabile waalon ne governor house gher liya tha....lekin Jab unko bazaar mein le jaa kar qatal karne ka hukm huwa...Haani ko haath baandh kar le jaa rahe the to Wo pukaar rahe the....
       Kahan hai mere qabile waale mere ghar waale meri jaan kyun nahi bachaate....magar koi nazar nahi aaya jo Haani ki madad karta...jab wo maayus ho gaye to zor laga kar apna haath rassi se aazaad kara kar zorse pukaare k koi laathi..danda..chhadi..patthar ya uunt ki haddi hi do k mein apni jaan bachaa sakun....kisi ne kuch bhi jawab tak na diya...

🔻Sipaahiyon ne Aap k haath waapas baandhe or bhare baazaar mein shahiid kar diya...
.....Inna lillahi wainna ilayhi raajiuun

🔻Hazrte Muslim ne jab 40000 logon k saath governor house ka gheraaw kiya tha usi waqt apne dono beton ko Qaazi Shurih k yahan bhej diya tha...
       Jab ibne ziyaad ko pata chala k Muslim k saath 2 bachche bhi the to usne saare sheher me aelaan karwa diya k jo bhi Muslim k bachchon ko chupayega wo sakht saza payega or jo pakad kar hukumat k hawaale karega usko inaam diya jaayega...
       Ibne ziyaad k aelan se laalchi log or sipahi inaam ki laalach me bachchon ki talaash me dod pade...
...........AL AMAAN WAL HAFIZ...
......Ridwanullahi taala ajmaiin...

*TAARIKHE TIBRI...*
*SAWAANAHE KARBALA...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*


No comments:

Post a Comment

Our Social Sites