🔻Ibne ziyaad k aelan k baad Qaazi Shurih ghabra gaye or foran zaade raah tayyaar kiya or apne bete asad se kaha k.... Aaj koofa k qarib se aik qaafla madina sarif ki taraf jaanewala hai in bachchon ko kisi ahlebait k chaahne waale k hawaale kar dena or bolna k in bachchon ko tawajjo se sambhal kar madine sharif tak pohncha de...
🔻Jab asad us raaste par pohncha jahan se qaafla guzarne waala tha to dekha k wo qaafla guzar chuka hai...wo tezi se us taraf bhaaga jidhar qaafla gaya tha jab dhul udti nazar aayi to usne bachchon se kaha k dod kar qaafle me shaamil ho jaao ye keh kar usne bachchon ko us taraf dauda diya...or waapas aagaya...
Bachche us taraf dode kuch duur tak dode lekin kuch der baad dhul ka ghubaar dikhna band ho gaya...or qaafla chala gaya...chhote se bachche is tanhaai mein aik dusre se gale lag kar zorse rone lage or apne maa baap ko pukaar kar rone lage....
...ALLAH...ALLAH...ALLAH...ALLAH..
🔻Kuch zaalimon k hatthe bachche pakde gaye...or un chhote chhote bachchon ko jail me daal diya gaya...
Us jail ka jailer ahle bait se muhabbat karnewala tha...wo raat k kisi hisse me bachchon ko jail se riha kar k apne ghar laya mehmaan nawaazi ki...or un ko apni anguthi di or Qaadsiya ( city name ) jaanewali raah par daal kar kaha siidhe jate raho jab wahan pohonch jao to ye anguthi kotwaal ko dikhana saara haal bataana...wo tumhari madad karega...
🔻Bachche chal pade..bachche hi to the...raat bhar chalte rahe...subha jab andhera chhata to dekha k jis jaga se chale the wahin par khade hai...
Aik dusre se gale milkar ro pade...ujaala phelne par aik kaniiz ki nazar padi to pehchan kar apne maalik k ghar le aayi us ki maalika ahlebait ko chaahne waali thi...khub bachchon ko pyar kiya or nehla dhulakar saaf suthra kiya jab bchchon pet bhar khana kha liya to raat bhar k thake bachche so gaye..
Raat ko jab uska shohar aaya jo sharaabi tha jab use pata chala k Muslim k bachche mere ghar hai to biwi par bigda k din bhar in hi logon ki talaash me bhaaga bhaaga firta raha...or ye yahan soye huwe hai....
🔻Subha me bachchon ko ghasit kar jab le jaa raha tha to biwi ne bohot minnat samaajat ki k in besahara pyare bachchon ko chhod de...usne aik na suni or dariya kinaare le aaya biwi bhi haanpti kaanpti aayi to pehle biwi ko zakhmi kiya fir bachchon ki taraf badha or jaise hi talwaar nikali bachche khauf se aik dusre k gale lag gaye...rone lage...
Zaalim ko un par taras na aaya or dono k sar tan se juda kar diye sar apne paas rakh kar jism paani me baha diye...
.....INNA LILLAAHI WAINNA...
.....ILAYHI RAAJIUUN...
.....Ridwanullahe taala anhum
ajmaiin...
*📚TAARIKHE TIBRI...*
*SAWAANAHE KARBALA...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*

No comments:
Post a Comment