```IBNE ZIYAD-JAILER KI SHAHAADAT BACHCHON K QAATIL KA ANJAAM``` *```▶Post-49```*

🔻Jailer jiska naam Mashkoor tha ahlebait ki muhabbat mein jab usne bachchon ko chhod diya to ibne ziyaad ne jailer ko talab kiya or poocha k tune bachchon ko kyun chhod diya...to..
       Bola ahlebait ki muhabbat mein...ibne ziyaad bola k tuje mujhse dar nahi laga...Mashkoor bola...Jo Allah se darte hai wo kisi se nahi darte....ibne ziyaad bola...unko chhod kar tuje kya mila.... Bola muje ummid hai k mere ye karne se Allah or Rasool raazi honge or qayaamat k din meri shafa-at k zariye bakhshish ho jaayegi..
       Ibne ziyaad bola k ab dekh tuje kaisi saza deta hun...Jailer bola ye to aik jaan hai agar 1000 jaanein bhi hoti to sab ahle bait par qurbaan kar deta... Ibne ziyaad ne jallaad se kaha k ispar itne kode ( hanter ) maaro k ye mar jaaye..

 ★ Pehle kode par jailer ne Bismillah padhi..
 ★ Dusre kode par sabr ki dua ki....
 ★ Tisre kode par ahle bait ka wasila diya...
 ★ Chothe par bakhshish ki dua maangi...
 ★ Paanchwe kose par arz ki...Aey Allah mujhe ahlebait se mila de...Or jallad ne apna kaam tamaam kar diya.
 ★ Inna lillahi wainna ilayhi raajiuun

🔻Udhar bachchon k qaatil haaris bachchon k sar lekar ibne ziyaad k paas inaam k liye gaya.. Ibne ziyaad bhadak gaya or bola k...Tuje maarne ka kisne kaha tha...udhar yaziid ko mene bachche zinda pohnchane ka waada kiya hai or toone inko maar diya...
       Agar zinda bachche maange to kya jawaab dunga...fir ibne ziyaad ne jallad se kaha k iski bhi gardan maar di jaaye...bachchon k qaatil ko bhi maar diya gaya....

Na khuda hi mila
Na wisaale sanam
Na idhar k rahe
Na udhar k rahe
-------------------------------------------------------
...Sallallahu alayhi wasallam
...Ridwaanullahe taala anhum ajmaiin

*📚KHUTBAATE MUHARRAM...*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites