*ⓂOHARRAM AUR YAOM E ASHOORA* *🅿art 04*


✴ *DAOR E JAHILIYAT ME ASHOORA KA ROZA*

💠 Hazrat Hisham bin Arwah رضي الله عنه apne walid se aur wo Hazrat Ayesha رضي الله عنهما se riwayat karte hain k jahiliyat k daor me quresh ashoora ka roza rakhte the aur HUZOOR NABI KAREEM ﷺ bhi daor e jahiliyat me ye roza rakhte the jab AP ﷺ madine tayyaba tashreef laaye to ashoora ka roza rakha aur roza rakhne ka hukum bhi diya.

💠 Pas jab RAMADAN UL MUBARAK ka roza farz hua to bataor farz ashoora ko chod diya, pas jo chahe iska roza rakhey aur jo chahe chod de.

💠 *Is riwayat se is waqt k tayeen ka faeda haasil hua jisme ashoora k roze ka hukum hua aur wo madina tayyaba me tashreef lane ka ibtedayi waqt hai aur ismey shak nahi k HUZOOR NABI KAREEM ﷺ rabi ul awwal shareef me tashreef laaye to dusre saal k aghaaz me iska hukum hua.*

💠 Aur dusre saal me hi MAAH E RAMADAN k roze farz hogaye is buniyaad per ashoora k roze ka hukum sirf ek saal raha phir is roze ko nafli ibadat karne wale ki raaye per sapurd kardiya gaya.

💠 *To jin logo ko ye daawa hai k ye roza farz tha agar inka qaol sahih hai to in sahih ahadees ki waja se wo qarziyat mansookh hogayi.*

💠 Quresh ashoora ka roza rakhte the to shayad unhone pehle shariato se liya ho isi liye wo is din ki tazeem kaaba shareef k ghilaaf pehnane k zariye karte the.
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3, Page 431)*

🌀 Hazrat Akrama رضي الله عنه se marwi hai inse is silsile me pucha gaya to unhone farmaya quresh ne daor e jahiliyat me koi gunaah kiya to inke dil me ye baat baho badi mehsoos huyi pas inse kaha gaya k ashoora ka roza rakho ye iska kaffara hojaye.

🌀 Ye baat FATAH UL BAARI me farmayi hai.
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3, Page 432)*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites