✴ *FARIZAT E RAMADAN SE PEHLE ASHOORA K ROZE KA HUKUM*
🌀 Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما se marwi hai k ahle jahiliyat ashoora k din roza rakhte the aur HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne farmaya,
🌀 Beshak Ashoora ALLAH k dino me se ek din hai pas jo chahe is din ka roza rakhe.
💠 Hazrat Salma bin Ako’o رضي الله عنهما farmati hain k HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne aslam qabeele ka ek aadmi ASHOORA k din bheja aur isey hukum diya k logo me aelaan karde k jisne roza nahi rakha wo roza rakhe aur jisne khana khaya hai wo raat tak roza pura karey.
💠 Mehez is din ki tazeem k liye din k baqi hisse me khaane peene se rukne ka hukum diya, roza subah sadiq se shuru hota hai lehaza ye istelahi roza nahi.
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3, Page 432)*
🌀 Imam nawwi رحمة الله عليه farmate hain, islam k shuru me RAMADAN ka roza farz hone se pehle ASHOORA k roze k hukum me ullama e kiraam ka ikhtelaaf hai.
💠 Hazrat Imam Abu Hanifa رحمة الله عليه farmate hain, us waqt wajib tha.
🌀 Imam Shafayi رحمة الله عليه k shagirdo aur muqallideen ka do tariqe per ikhtelaaf hai inke nazdeek mash’hoor qaol ye hai k ye roza jabse jayaz hua sunnat raha hai aur is ummat me kabhi bhi wajib nahi raha lekin iska istehbaab takidi tha.
No comments:
Post a Comment