*ⓂOHARRAM AUR YAOM E ASHOORA* *🅿art 06*



✴ *YAHOODI AUR ASHOORA KA ROZA*

💠 Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما se marwi hai, farmate hain k HUZOOR NABI KAREEM ﷺ madina tayyaba tashreef laaye to AAP ﷺ ne yahudiyo ko dekha k wo ashoora ka roza rakhte the AAP ﷺ ne pucha ye kya hai?

💠 Unhone kaha ek acha din hai jisme ALLAH TA’ALA ne Hazrat Moosa عليه السلام aur Bani Isareel ko inke dushman se nijaat di chunanche AAP ﷺ ne roza rakha aur farmaya tumhari nisbat me Hazrat Moosa عليه السلام k sath zyada haq rakhta hoon chuchanche AAP ﷺ ne khud roza rakha aur roza rakhne ka hukum bhi diya.

🌀 *Ek riwayat me AAP ﷺ ne unse yaani yahudiyo se pucha ye din kaonsa hai jisme tum roza rakhte ho?*

🌀 Unhone (yahudiyo) kaha ye bahot bada din hai jisme ALLAH TA’ALA ne Hazrat Moosa عليه السلام (aur aapki qaom) ko nijaat di aur isme firaon aur iski qaom ko gharq kiya pas Hazrat Moosa عليه السلام ne shukar k taor per roza rakha to hum bhi ye roza rakhte hain.
📕 *(Sahih Muslim, Hadees 128)*
📕 *(Musnad Ahmed, Jild 1, Page 291 – 310)*
📕 *(Al Sunan Al Kubra, Jild 4, Page 286)*
📕 *(Al Dur Al Mansoor, Jild 2, Page 69)*
📕 *(Nasab Al Raaya, Jild 2, Page 454)*
📕 *(Musnad Al Hameedi, Hadees 515)*

💠 HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne farmaya tumhare muqable me hum Hazrat Moosa عليه السلام k sath zyada haq rakhte aur zyada khareeb hain chunanche AAP ﷺ ne is din ka roza rakha aur roza rakhne ka hukum diya.
📕 *(Al Sunan Al Kubra, Jild 4, Page 286)*
📕 *(Mishkat Al Masabeeh, Hadees 2067)*
📕 *(Kanzul Ummal, Hadees 32372)*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites