*ⓂOHARRAM AUR YAOM E ASHOORA* *🅿art 07*


🌀 IMAM Qartabi farmate hain k shayad quresh isliye ye roza rakhte ho k isey pehli shariato jaese Hazrat Ibrahim عليه السلام ki shariat ki tarah mansoob karte ho aur HUZOOR NABI KAREEM ﷺ k roze me ehtemaal hai k wo in (quresh) ki mawafiqat me ho jaesa k HAJJ k silsile me hua.

🌀 Aur ALLAH TA’ALA ne AAP ﷺ ko is din k roze ki ijazat di ho k ye acha kaam hai pas jab AAP ﷺ ne hijrat ki aur yahudiyo ko roza rakhte huye paaya aur inse sawaal kiya aur roza rakha aur iska hukum bhi diya to is baat ka ehtemaal hai k yahudiyo ki dil joyi farmayi ho jis taraf inkey qible ki tarah rukh karne me inki diljoyi farmayi.

💠 Jo bhi surat ho AAP ﷺ ne yahudiyo ki iqteda me ye roza nahi rakha kyu k AAP ﷺ pehle bhi ye roza rakhte the aur ye is waqt ki baat hai jab AAP ﷺ in amoor me jinse AAP ﷺ ko mana nahi kiya gaya, ahle kitaab ki mawafiqat ko pasand farmate the khususan jab kisi kaam me but parasto ki mukhalifat ho.

💠 Jab MAKKAH MUKARRAMA fateh hua aur islam ka maamla phael gaya to AAP ﷺ ne ahle kitaab ki mukhalifat ko bhi pasand farmaya jis tarah Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما ki riwayat me hai k HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne jab ASHOORA ka roza rakha aur iska hukum diya to SAHABA E KIRAAM ne arz kiya.

🌀 YA RASOOL ALLAH ﷺ yahudi aur eesayi is din ki tazeem karte hain to AAP ﷺ ne farmaya, jab aayinda saal aayega to InSha ALLAH hum 9 tareekh ka roza bhi rakhenge pas aayinda saal aane se pehle AAP ﷺ ka wisaal hogaya.
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites