*ⓂOHARRAM AUR YAOM E ASHOORA* *🅿art 08*


✴ *9WI MUHARRAM KA ROZA*

💠 Ek riwayat me hai k AAP ﷺ ne farmaya agar main aayinda saal zinda raha to 9 tareekh ka roza bhi rakhunga.
📕 *(Musannaf Ibne Abi Shaeba, Jild 3, Page 58)*
📕 *(Al Tamheed, Jild 7, Page 214)*

🌀 Ye HADEES IMAM SHAFAYI aur inkey shagirdo aur Hazrat Imam Ahmed, Imam Ishaaq رحمهم الله ki daleel hai jo 9 aur 10 dono dino ka roza mustahab kharaar dete hain kyu k AAP ﷺ ne 10 tareekh ka roza rakha aur 9 tareekh ki niyyat farmayi.

💠 *Imam Naw’wi farmate hain, baaz ullama ne farmaya shayad 10wi Muharram k sath 9wi Muharram k roze ka sabab ye ho k sirf 10 Muharram k roze k zariye yahudiyo se mushabihat na hojaye.*

💠 Hadees me is baat ki taraf ishara hai aur kaha gaya hai k ASHOORA k huzool me ahtiyaat k liye ye hukum hai lekin pehli baat zyada munasib hai.

🌀 Imam Bizaar رحمة الله عليه ki riwayat me Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما ki hadees se hai k HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne farmaya ASHOORA k din ka roza rakho aur isme yahudiyo ki mukhalifat karo (yaani) ek din pehle aur ek din baad bhi roza rakho.
📕 *(Musnad Ahmed, Jild 1, Page 241)*
📕 *(Sunan Al Kubra, Jild 4, Page 287)*
📕 *(Al Dar AL Mansoor, Jild 6, Page 345)*
📕 *(Kanzul Ummal, Hadees 24221-24231)*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites