✴ *HUZOOR NABI KAREEM ﷺ KA YAOM E ASHOORA ME ROZA RAKHNA*
☯ *HUZOOR NABI KAREEM ﷺ k YAOM E ASHOORA me roza rakhne ka khulasa 4 halatey hain.*
1⃣ AAP ﷺ MAKKAH MUKARRAMA me roza rakhte the aur SAHABA E KIRAAM ko roza rakhne ka hukum na dete jaesa k issey pehle Hazrat Ayesha Siddiqua رضي الله عنهما ki hadees BUKHARI WA MUSLIM aur degar muhaddiseen k hawale se pehle aapne padhi hai k quresh jahiliat k daor me ASHOORA ka roza rakhte the aur NABI KAREEM ﷺ bhi is din ka roza rakhte pas jab MADINA TAYYABA tashreef laaye to AAP ﷺ ne is din ka roza rakha.
2⃣ HUZOOR NABI KAREEM ﷺ jab MADINA TAYYABA tashreef laaye aur ahle kitaab ko is din ka roza rakhte huye aur iski tazeem karte huye dekha aur AAP ﷺ in umoor me jinka hukum na diya gyaa in logo ki mawafiqat ko pasand karte the to AAP ﷺ ne is din ka roza aur SAHABA E KIRAAM ko bhi roza rakhne ka hukum diya aur is roze ko, hukum aur targheeb k zariye takeedi banaya.
💠 Hata k log apne bacho se bhi roza rakhwate the jis tarah Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما ki hadees IMAM BUKHARI O MUSLIM aur dusre hazraat k hawale se guzar chuki hai.
3⃣ Jab MAAH E RAMADAN k roze farz huye to HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne ye roza chod diya aur farmaya ASHOORA ALLAH TA’ALA k dino me se ek din hai jiska dil chahe wo is din roza rakhe aur jo chahe chod de, Hazrat Ayesha Siddiqua رضي الله عنهما ki guzishta hadees iski shahed hai.
4⃣ HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne umar k aakhri hisse me pakka irada karliya tha k AAP ﷺ sirf is din ka roza nahi rakhenge balke iske sath ek aur din bhi milayenge take is din k roze k silsile me ahle kitaab ki mukhalifat hojaye jaesa k humne bayaan kiya hai.
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)*
No comments:
Post a Comment