✴ *AASHOORA KI FAZILAT*
💠 IMAM MUSLIM رحمة الله عليه ne Hazrat Abu Qatada رضي الله عنه se marfu hadees naqal ki hai k ASHOORA ka roza ek saal k gunaho ka kaffara banta hai aur 9 zilhajja ka roza do saalo k gunaho ka kaffara hai.
📕 *(Fatah Ul Baari, Jild 4, Page 249)*
⚠ *Isse wazeh hota hai k 9 zilhajja ka roza ASHOORA k roze se afzal hai.*
🌀 Kaha gaya hai k iski hikmat ye hai k YAOM E ASHOORA Hazrat Moosa عليه السلام ki taraf mansoob hai aur YAOM UL ARFA (9 ZILHAJJA) HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ki taraf mansoob hai isi liye ye afzal hai.
Wallahualam
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)*
💠 Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما se raawi hain k RASOOL ALLAH ﷺ jab MADINA MUNAWARA me tashreef farma huye to AAP ﷺ ne dekha k ahle yahood ASHOORA (10 MUHARRAM) ka roza rakhte hain.
💠 AAP ﷺ ne inse iska sabab daryaaft farmaya to unhone bataya k is roz ALLAH TA’ALA ne Hazrat Moosa عليه السلام aur Bani Israeel ko firaon per ghalib farmadiya lehaza iski tazeem hum roza rakhkar karte hain.
💠 RASOOL ALLAH ﷺ ne farmaya Hazrat Moosa عليه السلام se khareeb tar hum hain pas AAP ﷺ ne is roz ka roza rakhne ka hukum farmadiya.
📕 *(Mukashifatul Quloob)*
No comments:
Post a Comment