*ⓂOHARRAM AUR YAOM E ASHOORA* *🅿art 11*


*ASHOORA K DIN KASHAADGI*

💠 Ek riwayat me hai, jo shaks ASHOORA k din apne ghar walo per (rizq mein) farwaani karta hai ALLAH TA’ALA saal bhar isper (rizq) kashada karta hai.

💠 Is Hadees ko IMAM TABRANI ne aur IMAM BEHAQI ne “Al Shaab me Nez Fazael Ul Aoqaat me” riwayat kiya hai aur ABU AL SHAIKH ne Hazrat Ibne Masood رضي الله عنه se riwayat kiya hai, do (Imam Tabrani aur Imam Behaqi) ne sirf Abu Sayeed رضي الله عنه se riwayat kiya.

🌀 Aur dusrey (Imam Behaqi) ne “Faqat Shaab Ul Imaan” me Hazrat Jabir aur Hazrat Abu Huraera رضي الله عنهم se riwayat kiya aur farmaya k in tamaam riwayat ki asnaad zaeef hain lekin jab inko ek dusre se milaya jaaye to khuwat ka faeda haasil hota hai balkey Iraqi ne apni amaali (hadees likhana amlaa kehlata) me farmaya k Hazrat Abu Huraera رضي الله عنه ki hadees k sahih taraq hain.

☯ *Ibne nasir hafiz ne inme se baaz ko SAHIH kharaar diya.*

🌀 Ibne joozi ne maozuaat me Hazrat Suleman bin Abi Abdullah k tareeq se riwayat kiya aur kaha k Hazrat Suleman majhool hai aur Ibne Habban ne Suleman ko saqa raawiyo me zikr kiya pas inki raaye me ye hadees sahih hai.

💠 Ibne Iraqi ne kaha k is hadees k Hazrat Jabir رضي الله عنه se kayi taraq hain aur wo Imam Muslim ki sharaet per hain, Ibne Abd Albar ne isey “Al Astazkaar” me abu al Zubair ki riwayat se naqal kiya aur wo Hazrat Jabir رضي الله عنه se riwayat karte hain aur ye Sahih tareeq sanad hai.

💠 Ibne Abdul Barr aur Daar Ul Khutni ne isey AL AFRAAD me jayyad sanad k sath Hazrat Omer رضي الله عنه se maoqufan riwayat kiya aur Imam Behaqi رحمة الله عليه ne SHAAB UL IMAAN me Muhammed Bin MUntashar ki jahat se riwayat kiya, wo farmate hain k kaha jata hai aur aagey isi tarah hadees zikar ki.
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites