🚏 *TABRANI SHAREEF me riwayat hai k is roz ek dirham sadqa kiya jaye to wo 7 lakh dirham sadqa dene se afzal hota hai.*
🌀 Hakim tasreeh farmate hain k is roz surma lagana bid’at hai IBNE QAYYAM kehte hain k surma lagane daane phute tel laganae khushbo lagane ki sab hadeese ASHOORA se mutalliq jhoote logo ne ghadi huyi hain aur issey bachna chahiye.
🌀 Aur yaad rakhey HAZRAT IMAM E HUSSAIN رضي الله عنه k sath is roz jo kuch waqey hua wo is din ki azmat, rafaat, ALLAH TA’ALA k nazdeek iska darja aur ahle baeth k darjaat se is din ka taalluq is din ki rafaat o azmat ki wazeh shahadat hai.
🚏 AAP رضي الله عنه ki is musibat ko yaad karke jo aadmi انا لله وانا اليه راجعون padhe aur iske alawa kuch juzz o fuzz k kalmaat mu se na nikale taakey RASOOL ALLAH ﷺ k tariqe ki ata’at ho usey INDALLAH wo sawaab mile jo ALLAH TA’ALA ne yu waada farmaya.
☘ *أُولَٰئِكَ عَلَيْهِمْ صَلَوَاتٌ مِّن رَّبِّهِمْ وَرَحْمَةٌ ۖ وَأُولَٰئِكَ هُمُ الْمُهْتَدُونَ*
🍀 *Wahi hain jinper inkey rab ki taraf se durood aur rehmat hai aur wahi hain hidayat palene wale.*
📗 *(Sureh Al Baqara, Ayat 157)*
💠 Aur jo shia logo ne khurafaat apnayi huyi hain, beyn kar kar k maatam karna sog manana isse bachey ye ahle imaan k tareeq nahi hain, agar ye munasib hota to Hazrat Imam Hussain رضي الله عنه k nana jaan HUZOOR E AKRAM NOOR E MUJASSAM ﷺ k wisaal per aesa karna laazim hota.
💠 Kyu k wo zyada haqdaar hote bas ALLAH TA’ALA kaafi madadgaar aur kaar saaz hai.
📕 *(Mukashifatul Quloob)*
No comments:
Post a Comment