*ⓂOHARRAM AUR YAOM E ASHOORA* *🅿art 13*


🚏 *YAOM E ASHOORA KI KHUSUSIYAAT*

💠 ASHOORA k din k baarey me bahot riwayaat warid huyi hai, isi roz Hazrat Adam عليه السلام ki taoba ALLAH TA’ALA ne qubool farmayi, isi roz Hazrat Adam عليه السلام ki paedayish huyi thi, aapko isi din jannat me dakhil farmaya gaya tha.

💠 Isi roz arsh, kursi, asmaan aur zameen, suraj, chand, sitare aur jannat paeda farmaye gaye, isi din Hazrat Ibrahim عليه السلام ki wiladat huyi, isi din hi inko naar namrood se nijaat ata huyi.

🌀 Yahi din Hazrat Moosa عليه السلام aur Bani Israeel k nijaat pane ka hai aur firaon apne sathiyo samet gharq hua, isi roz Hazrat Eesa عليه السلام ki wiladat huyi aur isi roza Hazrat Eesa عليه السلام ko asmaan per uthaliya gaya tha.

🌀 Isi roz Hazrat Idrees عليه السلام ko muqaam rafeey per uthaya gaya (yaani asmaan per), isi roz Hazrat Nooh عليه السلام ki kashti kooh e Jodi per aa tehri thi, Hazrat Younus عليه السلام ko bhi isi din machli k pet se nijaat haasil huyi.

💠 Yahi din hai jab Hazrat Suleman عليه السلام ko saltanat azeem di gayi thi, isi din hi Hazrat Yaqoob عليه السلام ki beenayi behaal huyi thi, isi din Hazrat Ayub عليه السلام ki bimari dur huyi thi, aur isi din hi asmaan se aoleen barish zameen per huyi thi.

💠 Guzishta sab qaomo me ASHOORA ka roza tha yahaan tak k naqal kiya gaya hai k qabal az RAMADAN yahi ASHOORA ka roza farz tha aur RAMADAN k baad ye farziyat mansookh kardi gayi.

🌀 Qabal az Hijrat e Rasool ﷺ ye roza rakhte the phir MADINA SHAREEFF me aakar isko maokad farmaya aur AAP ﷺ ne aakhir umar me farmaya tha k agle saal agar main zinda raha to 9 aur 10 MUHARRAM ko roza rakhunga.

🌀 Lekin AAP ﷺ is saal me hi parda farma gaye, aur 10 MUHARRAM k alawa AAP ﷺ roza nahi rakh sake lekin iski targheeb AAP ﷺ dekar hi gaye the.

📚 *Reference*
📕 *(Mukashifatul Quloob)*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites