🌟نحمده و نصلي و نسلم على رسوله الكريم
🔵Qurbaani hazrat saiyyiduna ibaraheem عليه السلام ki sunnat hai jo is ummat ke liye baaqi rah gayi aur nabi صلى الله تعالى عليه وسلم ko qurbaani karne ka hukm diya gaya irshad farmaya
🌟ّفَصَلِّ لِرَبِّكَ وَانْحَرْ

🔘Tum apne rabb ke liye namaz padho aur qurbaani karo
📜Surah E Kausar Aayat 2
🈯AHAADEES E KAREEMA
1⃣Ummul mumineen hazrat aaishah siddiaqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya keh yaumunnahar (daswen zilhijjah) men ibn e aadam ka koi amal khuda ke nazdeek khoon bahane ( qurbaani karne) se ziyadah piyaara nahin

🔵Aur woh jaanwar qiyaamat ke din apne sing aur baal aur khuron ke saath aayega aur qurbaani ka khoon zameen par girne se qabl khuda ke nazdeek maqaam e qubool men pahunch jaata hai lihaza is ko khush dili se karo
📕(Abu daaud/Tirmizi/Ibn e Maajah)
2⃣Hazrat imam hasan bin ali رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya
jis ne khushi se taalib e sawab ho kar qurbaani ki oh aatish e jahannam se hijaab (rok) ho jaayegi
📕(Tibraani)
3⃣Hazrat abdullah bin abbas رضى الله تعالى عنهما se riyawat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya jo rupiya eid ke din qurbaani men kharch kiya gaya us se ziyadah koi rupiya piyara nahin

📫BOOK NAME-FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI.
No comments:
Post a Comment