*Part 02💥QURBANI KA BAYAN💥*


4⃣Hazrat e Abu hurairah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jis men us'at ho aur qurbani na kare oh hamari eid gaah ke qareeb na aaye
📕Ibn E Maajah

5⃣Hazrat e Zaid bin arqam رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh sahaba kiram ne arz ki ya rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم ye qurbaaniya kiya hai farmaya keh tumhare baap ibraahim عليه السلام ki sunnat hai logo ne arz ki ya rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم hamare liye is men kiya sawab hai farmaya har baal ke muqabil neki hai arz ki aur uoon ka kiya hukm hai farmaya keh uoon ke har baal ke badle men neki hai
📕Ibn E Maajah

6⃣Hazrat barrah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh nabi e kareem صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya sab se pahle jo kaam aaj ham karenge oh ye hai keh namaz padhenge aur phir qurbaani karenge
📕Bukhari

7⃣Hazrat e barrah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya keh aaj ke din jo kaam ham ko pahle karna hai oh namaz hai aur is ke ba'd qurbaani karna hai jis ne aisa kiya oh hamari sunnat ko pahuncha
📕Imam ahmad

📫BOOK NAME - FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI 

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites