*🔖Part-18* *🌺Jiska Mai ﷺ Maula Uska Ali رضي الله عنها Maula🌺*


*🌼BUZG E ALI رضي الله عنه MUNAFIKAT KI NISHANI HAI*
*🍀Hadees 04:*

💦Abu Sa'eed Khudri رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hai "Hum Ansaar k logo k nazdeek Hazrat E Ali Ibn Abu Talib رضي الله عنه Se Bughz Rakhna Munafikaat Ki Alamat Thi Is Se Hum Munafik Ko Pahchan Lete The”

*📜(Jamai Tirmizi, Vol :06, Pg : 390, Kitab No 49, Kitabul Manakib, Hadees : 4082 ‘English No : Vol : 01,Book No :46, Hadees :3717’)*

*🍀Hadees 05:*

💦“Hazrat Zirr Bin Hubaish رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم Ne Farmaya :

🌼Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ne Daana Cheera Aur Jis Ne Jaandaaron Ko Paida Kiya !

🍀Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Mujh Se Ahad Faramaya Tha Ki Mujh Se Sirf Momin Muhabbat Rakhega Aur Sirf Munafiq Hee Mujh Se Bughz Rakhega.”
Ye Hadees Sahi Hai

*📜(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitab No 01 Kitabul Imaan,Baab : Hazrat Ali رضي الله عنه Aur Ansaar Se Muhabbat Karna Imaan ki Alamat Hai unse Bugz Karna Munafikat Ki Alamat Hai,Hadees : 78 “English No Book 01, Hadees : 146 OR 141)*
*(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol :01, Pg : 250, Hadees : 291)*

*📜(Imam ibn Abi Asim As Sunnah Vol : 02, Pg :598)*
*(Imam Bazzar Al Musnad Vol : 02, Pg : 182, Hadees : 560)*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites