✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
♻ Hazrat Abdullah bin mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they hamara guzar baccho se hua jinme ibne siyaad bhi tha, tamaam bacche bhaag gaye lekin ibne siyaad baitha raha Rasool
Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye baat buri lagi Aap Sallallahu Alaihi Wa
Sallam ne farmaya:
♻ *"Tere haath gubbar aalood ho kya tu gawahi deta hai k mai Allah ta'ala ka Rasool hu?"* wo bola *"Nahi"* "phir ibne siyad kehne laga kya tu (yaani Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam) gawahi deta hai k mai Allah ka Rasool hu?", Hazrat Umar Razi Allahu Anhu (jo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they) ne kaha:
♻ Ya Rasool Allah Sallallahu Alaiahi Wa Sallam mujhe ijazat de mai ise qatal kardo, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: *"Agar ye wahi hai jiska tujhe shak hai (yaani dajjal) to phir tu ise
qatal nahi kar sakta"* (aur
agar koi aur hai to ise qatal karne ka faida nahi).
*📚[Sahih Muslim Kitabul Fitan]*
♻ Ahle ilm ki tehqeeq k mutabik ibne siyaad hi wo dajjal hai jise Allah ta'ala k huqm par farishto ne kisi jazeere mai band kar rakha hai aur qayamat k kareeb wo zahir hoga agarche wo madina mai paida hua aur makka madina mai hajj kiya lekin jab wo fitna paida karne k liye zahir hoga to makka mai dakhil ho sakega na madina
mai jesa k *Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam* ne pesheeen gooyi farmayi..
Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye baat buri lagi Aap Sallallahu Alaihi Wa
Sallam ne farmaya:
qatal nahi kar sakta"* (aur
agar koi aur hai to ise qatal karne ka faida nahi).
mai jesa k *Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam* ne pesheeen gooyi farmayi..
*_🔀 TO BE CONTINUED.....🔜_*
No comments:
Post a Comment