*Seerat e gaus e Azam* *Part:-03*

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
*Sayyada Aaisha Razi'allahu ta'ala anha*

♡Aap Huzoor Saiyyadana Gause Samdani kuddisa Sirrahoo Annoorani kee foofee jaan thi'n aapka name mubarak Aaisha Kunniyat umme Muhammad thi aap bahut badi aabida zahida aur aarifa thi'n

♧Shaikh Abul-Abbas Ahmed w Abu Saleh Abdullah Attabaqi bayan karte hain ek dafa jeelan shareef mein khushk saali ka qahat pada logon ne har chand duaein mangi namaze istiska bhi Ada kee magar barish na huie aakhir kar logon ne aap ki foofi jaan kee khidmate aqdas mein hazir ho kar arz kiya ki aap dua farmaein ki Allah kareem barish nazil farmae

*♡ "Faqaamta ila rahbate baitha w kansatil-raza waqalat ya rabbe ana kanstu farshshe anta".*

♡Tou aapne apne ghar ke sahan mein khade ho kar jhadoo diya aur bargahe Rabbul-Aalameen mein arz kee ki Ae mere parwardigar maine zameen ko saaf kar diya hai tou us par chidkav kar de aapke yah arz karne kee der thi ki aasman se mosladhar barish shuroo ho gaee aur log barish mein bhigte hue apne gharon mein wapas gaye...

*📓Ref ( Bahajatul-Asraar safa , 89, Nuzhatul-khatir Al-Fatir: Safa 24, Qalaidul-Jawahir safa 8 )*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_




No comments:

Post a Comment

Our Social Sites