*Seerat e gaus e Azam* *Part:-02*

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
*♡Hazrat Abu Saleh Saiyyad Moosa Jangi Dost Razi'allahu ta'ala anhu*

♡Aap Hazrat Gause Aazam Razi'allahu ta'ala anhu ke Walide Mohataram they Aap ka isme girami Saiyyad Moosa Kunniyat Abu Saleh aur laqab Jangi dost tha aap jeelaan shareef ke akabir mashaikh mein se they

♡LAQAB KEE WAJHE TASMIYA: Aap ka laqab Jangi dost isliye tha ki aap khalisan lillah Nafs kushi aur riyazate sharaee mein farde Wahid the neki ke kamon ke hukm karne aur buraee se rokne ke liye made diler the is mu'aamale mein apni jaan tak kee bhi parwah na karte the aapka ek waqia mankool hai mulahiza farmaein

♡Ek din aap jama masjid ko ja rahe they ki khaleefa waqt ke chand mulazim sharab ke make nihayat hee ehtiyaat se saron par uthae ja rahe they, aapne jab un kee taraf dekha tou gussa se un matkon ko tod diya aapke taqddus aur buzurgi ke samne kisi mulazim ko dam marne kee jur'at na huie khaleef-e-waqt ko ubhara

♡KHALEEFA: Saiyyad Moosa ko fauran mere darbar mein pesh karo Hazrat Saiyyad Moosa : Darbaar mein tashreef le aae khaleefa us waqt gauz w gazab se Kursi par baitha tha

♤KHALEEFA: ( Lalkar kar kahta hai ) aap kaun the jinhone mere mulazemeen kee mehnat ko raega kar diya?

♧HAZRAT SAIYYAD MOOSA: main muhatasib hoon aur maine apna farze mansabi Ada kiya hai

♧KHALEEFA : Aap kis ke hukm se muhatasib muqarrar kie gaye hai

♤HAZRAT SAIYYAD MOOSA: ( Roo'ab angez lehaza mein ) jiske hukm se tum hukoomat kar rahe ho

♡Aapke is irshad par khaleefa par aisi riqqat Taari huie ki sarbazaanu ho gaya aur thodi der ke baad sar ko utha kar arz karta hai

♡KHALEEFA: Huzoor E waala ! maar bil-ma'aroof aur nahiye anil-munkar se bad kar matkon ko todne mein kiya hikmat hai?

♧HAZRAT SAIYYAD MOOSA: Tumhare haal par shafqat karte hue neez tujh ko duniya aur aakhirat kee ruswaee aur zillat se bachane kee khatir khaleefa par aapki is hakeemana guftagu ka bahut asar hua aur mut'assir ho kar aapki khidmate aqdas mein arz guzaar hua

☆KHALEEFA: Aaleejaah! aap meri taraf se bhi muhatasib ke ohada par mamoor

♡HAZRAT SAIYYAD MOOSA: ( Apne mutwakkelana andaz mein ) jab main mamoor anil-haq hoon tou fir mujhe mamoor anil-khalq hone par kya parwa hai us din se aap Jangi dost ke laqab se mashoor ho gaye , aap mutajalli bajalale ilahi they khasaane ilahi ka maqam hasil tha aapko koie shakhs agar azeeyat pahunchata tou usko zaroor zillat aur ruswaee ka samna karna padta..

*Ref ( Seerat e gause pak )*


_♻To Be Continue......🔜🔜💝_



No comments:

Post a Comment

Our Social Sites