*Seerat e gause paak* *Part:-01*

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
*Hazrat Abdullah Soomaee Razi'allahu ta'ala anhu*

♡Aapke Nana jaan they aap jeelan shareef ke mashaikh mein se ek nihayat hee zahid aur parhezgar hone ke Alawa sahib e fazl w kamal they bade-bade mashaikhe kiram se aapne sharfe mulaqat hasil kiya shaikh Abu Abdullah Muhammad qazaweeni Alaihirrehma  farmate hain ki aap mustajabuddawat they aap kisi shakhs se naraz hotey to Allah ta'ala us shakhs se badla leta aur jis par aap khush hote tou Allah Az'wazal usko inaam wa ikraam se nawazta zaeeful-jism aur naheeful-baan hone ke bawajood aap nawafil kaseer tadad mein Ada farmate aur zikr wa azkar mein masroof rahte the

☆ kana yukhbirool-bil-amre qaba w kooehi fayaqu kama yukhbiru

♡Aap aksar umoor ke waqe'a hone se pahle unki khabar de diya karte the aur jis tarah aap unke roonuma hone ki ittila detey the usi tarah hee waqe'at roopzeer hote the

*📓Ref ( Bahajatul-Asrar safa, 89 , Qalaidul-jawahir safa.3, matboo'aa misr nafkhatul uns farsee safa. 351, safeenatul-auliya safa 63 )*

*Qafila Kee Madad Farmana :*

♤Hazrat Abu Abdullah qazaweeni Alaihirrehma farmatey hain ki hamare baaz Ahabab ek Qafila ke hamrah samrqand kee taraf tijarat ka maal lekar gaye jab wah ek sahara mein pahunche tou un par dakuon ke garoh ne halma kar diya Qafila walon ka bayaan hai ki hum ne is mushkil ke waqt shaikh Abdullah Soomaee Rahmatullah Alaih ko pukara tou hum ne dekha hua "qaimun bainana w nada subboohun kuddusun Rabbunllah tafrraqay ya khailu Anna" ki aap hamare darmiyan tashreef farma hain

♡Aur "Subboohun kuddusun Rabbunllahu tafrraqay ya khailu anna" padh rahe hain aapka yah padhna hee tha ki tamam dakoo jo sawar the muntashir ho kar kuch pahadon kee chotiyon par Chad gaye aur kuch jangal kee taraf bhag gaye aur hum un dakuon se mahfooz rahe baad azeen hum ne aapko har chand talash kiya magar aap ko na paya jab hum jeelaan wapas aae tou hum ne yah dakuon wala waqya bayan kiya tou un logon ne halfan kaha maa gabashshaikhu Razi'allahu ta'ala anhu ki is asna mein shaikh bilkul gayab nahin hue...

*📓Ref ( Bahajatul-Asraar safa 89, Qalaidul-jawahir safa 3 )*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_






No comments:

Post a Comment

Our Social Sites