SEERAT E GHOUS E AZAM PART:-11

Fatawa Mubaraka Huzoor pur Noor Saiyyadana Ghous e Pak Razi'allahu ta'ala anhu k sahabzada Saiyyadi Abdul-Wahab Alaihirrahma farmatey hain ki aapne 528 hijri ta 561 hijritaitees saal dars w tadrees aur fatawa nawesi k faraiz sar anjaam die.

*Ref  ( Akhbarul-Akhiyaar safah. 15 , Qalaidul-jawahir Safah 18 )*

Ulmae Iraq aur gard w nawah k ulma aur duniya k goshe-goshe se aapke paas fatwe aate aap begair mutala ,  tafkkur aur gaur wa khoz k zarab ba sawab detey haziq ulma aur bahut bade fula mein se kisi ko bhi aapke fatwe k khilaf kalam karne kee kabhi jur'at nahi huie.

*Ref ( Akhbarul-Akhiyaar farsi Safah, 17 )*

Allama Sha'arani kuddisa Sirrahoo Annoorani farmate hain -Ulmae Iraq k samne aapke fatawa pesh hote tou unko aapki ilmi qabileeyat par sakht ta'ajjub hota tha aur wah yah Pukar uthate they ki wah zaat paak hai jisne unko aisi ilmi ne'amat se nawaza hai

*Ref ( Tabaqatul-Kubra Arbee Jild 1, Safah 127, Matboo'aa misr )*

Ek Ajeeb Mas'alaBilade Azam mein se aapke paas ek sawalaaya ki ek shakhs ne teen talaqon kee qasam Isee taur par khaee hai ki wah Allahta'ala kee aisi ibadat karega ki jis waqt wah ibadat mein mashgool hoga tou logonmein se koie shakhs bhi ibadat na karta hoga agar wah aisa na kar sake tou uski Biwi ko teen 3, Talaqe ho jayengiIs soorat main kaun see ibadat karni chahie yani is sawal se ulmae Iraq hairan aur shashadar rah gaye aur uska jawab nade sakane ka etraf karne lage aur us Mas'ala ko Huzur Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu kee khidmate aqdas mein unhone pesh kiyaTou aap ne fauran uska jawab irshad farmaya ki wah shakhs Makka Mukarramachala jae aur tawaf kee jagah sirf apne lie khali karae aur tanha saat 7. martaba tawaf karke apni qasam ko poora kare pasis shafaee jawab se ulmae Iraq ko nihayat hee ta'ajjub hua kyonki wah is sawal k jawab se Aajiz ho gaye they..

*Ref ( Tabaqatul-kubra jild , 1 Safah 127, Akhbarul-Akhiyaar farsi , safah 17, Qalaidul-jawahir , Safah 38 , Tohafa Qadariya , Safah . 87 )*

Dars W Tardees Mein JanfashaniAap badi mehanat aur Janfashani se talba ko padhate they Ahmad Binul-Mubarak Al-Furgani Bayan kartey Hain ki ek Ajami shakhs jiska naam Abi tha Nihayat hee Gabee aur kund zehan tha badi mehnat aur koshish se samjhane k bawajood wah mas'ala n samajh sakta tha aur wah aapkashagird bhi thaEk roz jabki usko badi Janfashani se padha rahe they ibnussamahal Alaihirrahma aapki khidmat mein hazir hueaapke is qadr mehnat aur koshish se padhane par ibne samahal bahut hairan hue jab wah ladka sabaq padh kar chala gaya tou unhone aapse kaha ki aapka usko padhane mein is qadr mashqqat bardasht karne par main hairan hoon tou aapne jawab irshad farmaya uske sath meri mehnat aur Janfashani k din ek hafta se kam rah gaye hain ek hafta na guzarega ki yah bechara rahmate ilahee mein pahunch jaega ibne samahal Alaihirrahma farmatey hain ki hafta k aakhiri din us Abi Naami ladke ka intiqal ho gaya aur maine uske janaza mein shirkat kee...

Ref *( Qalaidul-jawahir Safa . 8 )*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_





No comments:

Post a Comment

Our Social Sites