*☆SHAANE AMIIR MUAAWIYA...A☆* *```➡Post-25```*

🔻Hazrat Ahmed yaar khan naiimi...alayhirrehmah...farmate hai...Amir Muaaviya khaas Suleh Hudaibiya k din 6 hijri mein imaan laaye...magar makke waalon k khauf se apna islaam chupa rakkha fir Fathe Makka k din apna islaam zaahir farmaya...

🔻Aap Sahaabiye Rasul hain...or sahaabi wo khush nasiib musalmaan hai k jisne iimaan ki haalat me Huzur ko dekha ya sohbat payi or fir iimaan par uska khaatma huwa ho..
     Or sahaabiyat wo rutba hai k koi bhi chaahe kitna hi bada Wali or Ghaus O Qutub ho....kisi sahaabi k rutbe ko hargiz pohonch nahi sakta..
      Mafume Ahaadis...

🔻Mere sahaaba ki izzat karo isliye k wo tum sab se behtar hai..

🔻Mere sahaaba ko gaali na do or na unko bura bhala kaho..jo unko gaali de or bura bhala kahe us par Allah ki Laanat ho...

🔻Jab tum un logon ko dekho jo Mere sahaaba ko gaaliyan dete hon or unko bura bhala kehte hon to kaho..Tumhare Shar par Allah ki Laanat ho..

...sallallaho alayhi wasallam...

*📚MISHKAAT...*
*AL SHARFUKL MUAIYAD...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites