🔻Siyedus Shuhda ( tamaam shahidon k sardaar ) Imaame Husen ki wilaadat 5 shabaan 4 hijri ko madine sharif me hui.
🔻Aaqa ne Aap k kaan me azaan padhi or Munh me luaabe dahan ( thook mubaarak ) daala or dua farmayi fir 7 ve din Aap ka naam Husen rakkha or aqiqah kiya..
🔻Aapki kunniyat Abu Abdullah or laqab... Sibte Rasool...hai..
Mafhume Ahaadis...
🔻Aaqa farmate hai k Hazrate Haarun...alayhissalaam...ne apne beton k naam Shabbar O Shabbir rakkha Or Mene Apne beton ka naam unhi k naam par Hasan O Husen rakkha..
🔻Hasan O Husen jannati namon mese 2 naam hai....
🔻Husen Mujse hai or Mein Husen se hun...
🔻Jisne Husen se muhabbat ki usne Allah se muhabbat ki...
🔻Jise Ye pasand ho k kisi jannati jawaanon k Sardaar ko dekhe to wo Husen ibne Ali ko dekhe...
🔻Aik bar Aaqa masjid me tashrif laaye or farmaya...Chhota bachcha kahan hai..?
🔻Imaame Husen dodte huwe aaye or Aaqa ki godmein beth gaye or apni ungliyan Huzur ki daadhi mubaarak me daakhil kar dein Huzur ne unka munh khol kar bosa ( kiss..Chuma ) liya... Or farmaya...
🔻Aey Allah Mein isse muhabbat ( pyaar ) karta hun Tu bhi isse muhabbat ( pyaar ) farma or Usse bhi muhabbat ( pyaar ) farma jo isse muhabbat ( pyaar ) kare...
🔻Huzur...sallallahu alayhi wasallam...Imaame Husen k luaabe dehan ( thook ) ko is tarah chuste jayse k aadmi khajur chusta hai....
SUBHANALLAH..ALLAHUAKBAR
🔹KHULASA...In tamaam Ahaadis se pata chala k Huzur...alayhissalaam... Imaame Husen ko khud bhi bohot chaahte the or Apni ummat ko bhi inse muhabbat karne ki targhib di or Allah se bhi dua ki K isse bhi or jo isse muhabbat kare usse bhi muhabbat farma... Subhaanallah...
Matlab ye k jo ye chaahta ho k tamaam aalamon ka khaaliq or duniya bananewala tamaam dunya ko paalne waala mujse muhabbat kare to use chaahiye...K... IMAME HUSEN se muhabbat kare...
▪Aey Allah tere karam or fazl se hamaare Dilon mein Imaame Husen or unki Aal ki muhabbat daal de...AAMIIN..
...sallallahu alayhi wasallam...
...Ridwanullahi Alyhim Ajmain...
*📚MISHKAAT...*
*SAWAAE QUL MUHARREQA...*
*MIRQAAT SHARHE MISHKAAT...*
*AL SHARFUL MUAIYAD...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*

No comments:
Post a Comment