*☆SHAANE IMAAM E HUSEN...B☆* *```➡Post-29```*

🔹Huzur...sallallahu alayhi wasallam..ne irshaad farmaya...

     Mafhume Ahadis...
🔻Hasan or Husen jannati jawaanon k sardaar hain...

🔻Hasan or Husen dunya k Mere 2 phool hain...

🔻Jisne in dono se muhabbat ki to usne Mujh se muhabbat ki Or jisne in dono se dushmani ki usne Mujse dushmani ki...( jab Sarkaar ne ye farmaya tab aik kandhe par Hasan Or dusre kandhe par Husen the )

🔻Allama Jaami...alayhirrehmah...farmate hai k...Aik roz Aaqa apne siidhi taraf Imaame Husen or ulti taraf Apne Shehzaade Hazrat Ibraahim...alayhirrehmah...ko bithaaye huwe the...

🔻Us waqt jibraiil...alayhissalaam...haazir huwe or arz ki...Ya Rasulallah...Allah taala in dono ko Aap k paas jama na rakkhega...in mese aik ko waapas bula lega..Aap in dono mese aik ko pasand farma lein...
     Huzur ne farmaya... Agar Husen rukhsat ho jaayein to inki judaai mein Faatema...Ali ko taklif hogi or meri bhi jaan sozi hogi...
     Or agar Mere Shehzaade Ibrahiim wafaat pa jaayein to zyada se zyada gham muj ko hoga isliye Muje Apna gham pasand hai...Is waaqae k 3 roz k baad wafaat paa gaye..

🔻Is k baad jab bhi Imaame Husen Huzur ki khidmat mein aate to Huzur marhaba farmate...fir unko choomte or logon se farmate...Mene Husen par Apne bete Ibraahim ko qurbaan kar diya hai...

.....sallallahu alayhi wasallam...
.....radiyaallahu taala anhu...

*📚MISHKAAT...*
*AL SHARFUL MUAIYAD...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*



No comments:

Post a Comment

Our Social Sites