*SIYEDA FAATEMA KI FAZILAT* *➡Post-15*

🔻Aaqa...sallallaahu alayhi waaalihi wasallam...farmate hai...

      Mafhume Ahaadis...
🔻Faatema Mere gosht ka aik tukda hai...jisne use naaraaz kiya usne Muje naaraaz kiya...

🔻Jo chiiz Faatema ko naaraaz karti hai wo Muj ko bhi naaraaz karti hai...
Or jo chiiz Fatema ko takliif deti hai wo Mujh ko bhi takliif deti hai...

🔻To jisne Imaame Hasan ko zehar diya Or jin logon ne Imaame Husen ko karbala k registaan me Shahid kiya....
      Beshak un logon ne Faatema ko or Huzur ko takliif di or Huzur ko takliif dena Allah ko takliif dena hai..
      Or Allah O Rasool ko takliif dene waale par dunya or aakhirat me Allah ki laanat hai...
      Quraan me Allah irshad farmata hai... Beshak jo log Allah Or us k Rasool ko aziyat dete hain dunya wa aakhirat mein un logon par Allah ki laanat hai or un k liye zillat ka azaab tayyaar kar rakkha hai...( mafhum )

▪Allah apne fazl se ham sabko ayse har kaam se apni panaah me rakkhe jo uski naaraazgi ka sabab ho...
      Or apne mehbub bandon or bandiyon ki bargaah ka adab karnewala banaye....
         .....AAMIIN.....

*📚QURAAN SHARIF..*
*Para..22..Ruku..4..*
*MISHKAAT...*


No comments:

Post a Comment

Our Social Sites