*AHLE BAIT KI KHUSUSIYAT...B* *➡Post-14*

 🔹Aik waswase ka jawaab.. 
🔻Aaqa...sallallaahu alayhi waaalihi wasallam...farmate hai...

      Mafhume Ahaadis...

🔻Mein tumhein Allah k azaab se bacha nahi sakta...( apni fufi se )

🔻Aey Faatema binte Muhammed...alayhissalaam...Mere maal mein jo chaaho maang lo lekin Allah k azaab or us ki pakad ho to Mein tumhein koi faayda nahi pohncha sakta..( apni beti se )
    Ye hadison k mafhum ye niklta hai K Qayaamat me agar tumhari pakad ho gayi to Meri rishtedaari kuch kaam na aayegi...

▪Ye waswasa aa sakta hai k...Jab ghar waalon k kaam na aayegi to dusron k kaam kayse aayegi...
....MAAAZALLAAH....

🔹Is ka jawab Hazrat Shaikh Muhaddis Dehelwi...alayhirrehmah...dete huwe kehte hai k...
      Huzur ka ye farmana Allah se daraane or khauf delane k liye hai...
     Isliye k Ahle bait ki fazilat O buzurgi...un k liye Aaqa ki shafaat or unka jannati hona Ahaadise Sahihaa se saabit hai...

🔻Allama ibne Hajar makki...alayhirrehmah...farmate hai k... Tamam logon par aam tor par or Ahlebait par khaas tor se chand kaam ka ahtimaam ( karna ) laazim..zaruri hai....

🔹Dini ilm hasil karna... isliye k is k baghair nasab ka kaamil fayda nahi....

🔹Baap dada par fakhar kare or un par bharosa jata kar taqwa parhezgaari se mehrum na rahein.....isliye k Allah ne Quraan me farmaya...k..
      Tumme se baargaahe Ilaahi me zyada muazzaz wo hai jo zyada muttaqi ho......
      Haqiqat yahi hai k Aaqa k Ahlebait ka bohot aala maqaam hai...Allah se dua hai k hamein unse waabasta rakkhe or unki khidmat kar k faiz O dua lene ki tofiq ataa farmaaye.
     .....AAMIIN.....

*📚MISHKAAT...*
*ASHI-ATUL-LAM-AAT...*
*BARAKAATE AALE RASOOL...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*



No comments:

Post a Comment

Our Social Sites