JANNAT KA BAYAN🏺*_ PART:-8


 Bismillahirrahmanirrahim

ALLAHﷻ* Ki Tajalli Har Jannati Par Hogi
*ALLAH T'ALA* Un Jannatiyo'n Me Se Kisi Ko Uske Gunah Yaad Dila Kar Farmayega Ki Ae Falaa'n Ke Ladke Falaa'n Tujhe Yaad Hai Jis Din Tune Aesa Aesa Kiya Tha-
Banda Jawab Dega Ki *YA ALLAHﷻ* Kya Tune Mujhe Baksh Nahi Diya Tha?
*ALLAHﷻ* Farmayega Ki Haan Meri Magfirat Ki Wus'at Ki Wajah Hi Se Tu Is
Martabe Ko Pahuncha Hai,

Wo Sab Isi Halat Me Honge Ki Badal Chayega Or Unpar Khushboo Ki Barish Hogi Ki Un Logo'n Ne Aisi
Khushboo Kabhi Na Paai Hogi,
Fir *ALLAHﷻ* Farmayega Ki Us Taraf Jaao Jo Maine Tumhare Liye Izzat Taiyyar Kar Rakhi Hai, Osse Jo Chaho Le Lo.

Log Fir Ek Aese Bazar Me Pahuchenge Jise Faristo'n Ne Gher Rakha Hoga Or
Unme Aisi Cheezein Hongi Ki Na To Aankhon Ne Dekha Hoga Na Kaanon Ne Suna Hoga Or Na Un Cheezon ka Kisi Ne Kabhi Dheyan Kiya Hoga.

(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-161)

🇲AZMOON JARI HAI INSHAA'ALLAH.

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites