❇ *JUMME KI FAZILAT*❇

1⃣ *Jumma Farz e ain he or iski farziyat zohar se zyada muakkadah he or iska munkir kafir he*

2⃣ *Jo jumme ke din nahaye uske gunah or khataye mita di jati he or jab chalna shuru kare or har qadam pr 20 nekiya likhi jati he or dusri Riwayat me he ki har qadam per 20 saal ka amal likha jata he or jab namaz se farig ho to use 200 baras ke amal ka ajar milta he*

3⃣ *Jo 3 Jumuah Susti Ki Wajah Se Chore Allah Ta'la Uske Dil Par Mohr Kardega, Isko Abu Dawood O Tirmizi O Nisai O Ibne Majah O Darimi O Ibne Khuzaimah O Ibne Habban O Hakim Abul Ja'd Zamari Se Aur Imaam Malik Ne Safwan Ibne Saleem Se Aur Imaam Ahmed Ne Abu Qatadah RadhiAllahuAnhum Se Riwayat Kiya*

*Ibne Khuzaimah Aur Habban Ki Ek Aur Riwayat Me Hai Jo 3 Jum'e Bila Uzr Chore Woh Munafiq Hai*


4⃣ *khutib(khutba krne wala) ne musalmano ke liye dua ki to samyeen ko hath uthana ya Aameen kahna mana he karenge to gunahgar honge*

5⃣ *Huzoor e aqdas Rasool ﷺ ka naam e pak khuteeb(khutba krne wala) ne liya to haazireen ka zabani Durood sharif padhne ki ijazat nahi he yuhi sahaba e kiram ke zikr per us waqt رضي الله عنه zabaan se kahne ki ijazat nahi*

6⃣ *Huzur Rasool ﷺ farmate he jo sakhs jumme ke din gusl kare fir pehli sa'at me gaya(ek azaan se dusri azaan ke bich 5 sa'at yani time hota he) usne oont ki qurbani ki or jo dusri sa'at me gaya usne gaye ki qurbani ki or jo tisri sa'at me gaya usne sing wale mendhe ki qurbani ki or jo chauthi sa'at me gaya usne murgi nek kam me kharch ki or jo panchwe sa'at me gaya goya usne anda kharch kiya fir jab imaam khutbe ko nikle to malaika zikr sunne ko hazir ho jate he*

7⃣ *Huzur farmate he jab jumma ka din hota he farishte masjid ke darwaze per khade hote he or hazireen hone wale ko likhte he sab me pehla uske bad wala uske  bad wohi sawab( jo kal ki riwayat me majkur hui zikr kiye) fir imaam jab khutba ko nikla farishte apne dafter ko lapet lete he or zikr sunne lagte he imaam ahmad tabrani ki riwayat abu imama radi Allahu anhuma se he jab imaam khutba ko nikalta he to farishte dafter tay kar lete he kisi ne unse kaha jo sakhs imaam ke nikalne ke bad aye uska jumma na hua kaha haan hua to lekin woh dafter me nahi likha gaya*

8⃣ *Jumme ke din ya rat me surah kahf ki tilawat afzal he or zyada buzurgi raat me padhne ki he nisai Bayhaqi basanade sahih abu saeed khudri رضي الله عنه se raawi farmate hain "jo shakhs surah kahf jumme ke din padhe uske liye dono jum'on ke darmiyan noor Roshan hoga or daarami ki Riwayat me he jo shabe jumma me surah kahf padhe uske liye waha se ka'ba tak noor roshan hoga or abu bakar ibn mardwiya ki Riwayat ibn umar رضي الله عنہما se ki farmate he "jo jumme ke din surah kahf padhe uske qadam se Asmaan tak noor buland hoga jo qayamat ko uske liye roshan hoga or 2 jum'on ke darmiyan jo gunah hue he bakhsh diye jayenge*

📚 *Bahare shariat*
         *Hissa - 4*
       *JUMME ka bayan*
*🌎Send To All Worlds People 🌍*
         ONLY Aᴅᴍɪɴ Pᴏsᴛ Gʀᴏᴜᴘ
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
*KANEEZ-E-AAYESHA-SIDDIQA-GROUP*
_*~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~*_
*KHAWATEEN GROUP ALAG HAI JOIN...*
*📲📱+91 9149058241*📱
╰┄─━━━━━━━━─┄╮
*➪ 👑 Maslak-e-A'ala Hazrat zindabad World🌍 Group)*
╰┄─━━━━━━━━─┄╮
•●┄─┅━━★✰★━━━┅─┄●•
*Fatawa e Razviya sawal jawab Group*
•●┄─┅━━★✰★━━━┅─┄●•
💗💗💗💗💗💗💗💗💗💗💗
⤵ *_Group Admin_*
🌹 *_Muhammad Arshad Ansari Bareilly Shareef_*🌹
📲https://wa.me/+919149058241
•••┈┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈┈•••
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites