*【POST 06】*

جمعہ کی اذان مسجد کے دروازے پر دینا صحابہ کرام کی سنت ہے۔امام نیشاپوری
*_Juma Ki Azan Masjid ke Darwaze Per Dena Sahaba Ki Sunnat Hai_*

*Aap Hazrat Musalsal Azan e Saani Se Mutaliq Mauzo per Qistwar dalail Dekh Rahe Hain jis Mein Akabrain Ne Ye Likha Hai Ke Huzor Ke zamana Se Lekar Khulafa e Rashadeen Ke Zamana Mein Juma Ki Azan Masjid Ke Darwaze Per Hoti Rahi Hai Aur Yahi Maslake Ahle Sunnat Hai Ke Juma Ki Azan e Saani Masjid Ke Darwaze Per Di Jaye Hazrat imam Neshapuri Sureh Juma Ki Aayat يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا نُودِيَ لِلصَّلَاةِ مِنْ يَوْمِ الْجُمُعَةِ فَاسْعَوْا إِلَى ذِكْرِ اللَّهِ وَذَرُوا الْبَيْعَ Ki Tafseer Mein Farmate Hain_*

والنداء الأذان في أول وقت الظهر، وقد كان لرسول الله صلى الله عليه وسلم مؤذن واحد فكان إذا جلس على المنبر أذن على باب المسجد فإذا نزل أقام للصلاة، ثم كان أبو بكر وعمر على ذلك
*_“Hazrat imam Nesapuri Likhte Hain “Nida e Awal Waqat Zohar Mein Azan Hai Huzor Ke Ek Muazzin The Jab Aap Member Per Jalwa Afroz Hote Tu Wo Masjid Ke Darwaze Per azan Kehte Thy Aur Aisa Hi Hazrat Abubakar siddiq Aur Hazrat Omer Faroq Ke Zamana Mein Hota_*

📚 *_Tafseer Garayeb ul Quran imam Neshapuri Vol 6 Page 300_*

*insha Allah Bahut Jald Hum Fuqah e Kiram se Masjid ke Andar Azan Dene Se Mutaliq Dalail Pesh Karen Ge Aur “بین یدیہ”ka Sahih Mafhoof Bhi Wazeeh Karen Ge*





No comments:

Post a Comment

Our Social Sites