*غیر مقلد دھرم میں ضعیف حدیث صحیح ہوگئی۔ ضعیف اہل حدیث*
*Ghair Muqalladi Mazhab Mein Zaif Hadees Sahih Hogai*
*_Ghair Muqalladin Ke Mohaqiq Mohammad Bin Swaleh Usaimeen ibne Maja Ki Hadees Apne Fatawa Mein Naqal Ki Hai_*
*إن الماء لا ينجسه شيء إلا ما غلب على ريحه وطعمه ولونه*
*Huzorﷺ Ne Farmaya Be Shak Paani Ko Koi Chiz Na Paak Nahi Karti Magar Us Waqat Jab Paani Ki Bu Aur Rang Per Galib Na Aajye*
_Is Hadees Ki Sanad Ke Taluk Se Taqriban Sabhi Mohaddasin Ka ittefaq hai Ke Ye Zaif Hai Firqa E Ghair Muqalladeen Ke Nasir ud din Albani Ne Bhi *silslatul Zaifa Vol 6 Page 152* Mein is Hadees Ko Zaif Kaha Hai Magar Ghair Muqalladeen Ke Muhaqiq Sahab is Hadees e Zaif Ko Qabol Kar Rahe Hain likhte Hain_
*“Ye Hadees Agarche Sanad Ke Aitebar Se Zaif Hai Aur Aksar Ahle ilm ise Nabi ﷺ Tak Marfo Nahi Mante Balke imam Navwi Ne Kaha Ke Mohaddasin Ne isko Zaif Kehne Per Ittefaq Kiya Hai Lekin Ye Hadees Maana Ke Aitebar Se Sahih Hai ..*
📗 *Majmo Fatawa Wa Rasail Vol 11 Page 89*
*Apne Matlab Ki Koi Riwayat Mil Jaye Tu Wo Kaisi Hi Zaif Ho inke Yahan Saih Hojati Hai Khud Zaif Bhi Keh Raha Hai Aur Qabile Amla Bhi Sabit Karne Kar Raha Hai Yahi Agar Kisi Hanfi Shafai Malki Hambli Muqalladin Ne Kaha Hota Tu Sare Najdi Cheekh Chilla Rahe Hote*
No comments:
Post a Comment