↪PART-- 04 *🔴Gyarvi Manana Kaisa🔴*

✨ *11VI SHARIF KYA HAI :*

*11 vi Sharif Dar hakikat Hazrat Sarkar Mehboob Subhani Kutbe Rabbani Gaus E Aazam ﺭﺣﻤﺔ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ​ Ki Rooh E Aqdas par Isaal E Sawab Karna Hai Jo Quran Sahi Hadees Se Saabit hai.*

*11 Gyarvi Tareekh Kyu Munakkid Ki Gayi ?*
*Lafz 11 Gyara :* _English Me Eleven, Urdu me Gyara, Arabi me Idaa Ash, Farsi Me Yazdaham Kaha Jaata Hai._

*11 tarikh K Muttalik Ulema k Alag Alag aqwal hai baaj ka Kahna hai Sayyidna Gaus E Aazam 11 Tarikh ko Huzoor Nabi E Akram ﷺ k janib Khiraj E Akeedat me khoob Khoob Isaal E Sawab Nazr karte the lihaja Aap k baad Az Wisal bhi ye tarika Aapke Khulfam Shagirdeen Murideen Se Jaari raha aur Aaj Tak Jaari hai,*

*Baaj Rivayato Me Milta Hai k Huzoor Gaus E Aazam ﺭﺣﻤﺔ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ​ Huzoor Nabi E karim ﷺ ki 12vi me khoob khiraz E Aqeedat pesh karte the lihaja Huzoor Rehmat E Aalam ﷺ ne Aap ﺭﺣﻤﺔ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ​ ko ye Basaharat Di k Aapko 11vi Se yaad kiya Jayga ya Charach Hoga.*

*Wallahu Taala Aalam Lekin Jo Bunyaad hai wo hai Is Din Ka Isaal E Sawab Mustahab Amal ye bunyaad hai hamesha yaad rakhe kabhi wahabi aapko gumraah nahi kar sakte.*

*In Sha Allah Taala Ab Yaha Jab Iski Asl Isaal E Sawab ki dalil wajeh hogayi to mumkin hai wahabi gumraah firka ye kahe k ye sab to thik hai lekin ye jo aap Sunni log Din Days Mukarir karte ho ye biddat hai lihaja din mukarir karna k muttalik dalil padhe.*

*ISLAM ME KISI NEK KAAM K LIYE WAKT YA DIN MUKARAR KARNA KAISA ?*

_Bayanat Waaj K Liye Din Mukarar Karna_

📖 *HADEES :*

*“Hazrat Abu Wa’il Shakik bin Salma ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ Se Rivayat Hai Hazrat Abdullah ibn Masood ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ har Jumerat k din Waaj Farmaya karte the To Ek Aadmi Ne Unse Kaha Aye Abdul Rahman !*

*Meri Tammana Hai k Aap Rozana Hume Waaj Sunaya Kare To Aap ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ Ne Farmaya Rozana Waaj Farmane Se Jo Chiz Mujhe Rokti Hai Wo Ye Hai k Tum Logo ko Tangi Me Nahi Daalna Chahta Aur Mai Tumhari Fursat Ka Khayal Rakhta Hoon Jaise K Nabi E Akram ﷺ Waaj Sunane Me hamari Fursat Ka khayal Rakhte The Is Khauf Se k Hum Ukta Naa Jaye”*

📚 *(Sahi Muslim Vol : 07, Pg : 222- 23 , Kitab Sifaat Al Qiyamah Wa Jannati Wa Naar, ﺑﺎﺏ ﺍﻻِﻗْﺘِﺼَﺎﺩِ ﻓِﻲ ﺍﻟْﻤَﻮْﻋِﻈَﺔِ Hadees :7127, 7128,7129)*

📚 *(Sahi Bukhari Vol : 08, Pg : 232, Kitabul Duwat, ﺑﺎﺏ  ﺍﻟْﻤَﻮْﻋِﻈَﺔِ ﺳَﺎﻋَﺔً ﺑَﻌْﺪَ ﺳَﺎﻋَﺔٍ Hadees : 6411)*

📚 *(Sahi Bukhari Vol : 01, Pg :97, Kitabul Ilm, Hadees : 68)*

📚 *(Jamai Tirmizi Vol :05, Pg :197, Kitabul Adab, Hadees : 2855)*

🔄 *To Be Continue......🔜🔜*💝

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites