↪PART-- 09 *🔴Gyarvi Manana Kaisa🔴*

2⃣ *AULIYA ALLAH KI KARAMAT BAYAN KARNE KA SABOOT*

*_Hazrat Asaf bin Barkhiya Jo Hazrat Suleman ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ k ummat kay Kitab k aalim they unki Karamat ko Quran bayan karta Hai_*

*ﻗﺎﻝَ ﺍﻟَّﺬﻱ ﻋِﻨﺪَﻩُ ﻋِﻠﻢٌ ﻣِﻦَ ﺍﻟﻜِﺘﺎﺏِ ﺃَﻧﺎ ﺁﺗﻴﻚَ ﺑِﻪِ ﻗَﺒﻞَ ﺃَﻥ ﻳَﺮﺗَﺪَّ ﺇِﻟَﻴﻚَ ﻃَﺮﻓُﻚَ ۚ ﻓَﻠَﻤّﺎ ﺭَﺁﻩُ ﻣُﺴﺘَﻘِﺮًّﺍ ﻋِﻨﺪَﻩُ ﻗﺎﻝَ ﻫٰﺬﺍ ﻣِﻦ ﻓَﻀﻞِ ﺭَﺑّﻲ ﻟِﻴَﺒﻠُﻮَﻧﻲ ﺃَﺃَﺷﻜُﺮُ ﺃَﻡ ﺃَﻛﻔُﺮُ ۖ ﻭَﻣَﻦ ﺷَﻜَﺮَ ﻓَﺈِﻧَّﻤﺎ ﻳَﺸﻜُﺮُ ﻟِﻨَﻔﺴِﻪِ ۖ ﻭَﻣَﻦ ﻛَﻔَﺮَ ﻓَﺈِﻥَّ ﺭَﺑّﻲ ﻏَﻨِﻲٌّ ﻛَﺮﻳﻢٌ*

*_“Usne Arz Ki kay Jiske Pass Kitab Ka Ilm Tha Ki Mai Usse Huzoor Me Hazir Kar Dunga Ek Pal Maarne Se Pahle Phir Jab Suleman Ne Takht Ko Apne pass Rakha Dekha Kaha Ye Mere Rab k Fazl Se Hai Taaki Mujhe Aazmaye Mai Shukri Karta Hoon Ya Nashukri Aur Jo Shukr Kare Wo Apne bhale ko shukr karta hai aur jo naa shukri kare to mera Rab Be Parwaah Hai Sab Khoobiyo Waala”_*

📖 *(Surah Naml Ayat 40)*

_Yaha Karamat E Auliya nass e Quran Se Saabit hogayi jo Hazrat Suleman ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ ki ummat k wali hai jo kitab k aalim the unka aalam ye hai k palak jhapakne se pahle takht e Bilkis jo hazaro Mills duri pe hai apne makam me rehte huwe wo takht hazir kar diye_

*Aaj Koi Ahle Sunnat K Ulema Haqiki Ummat E Muhammadiya k Auliya ki Karamat aisi bayan karde to wahabi Shaykh Chilli isko Kissa kahani bolte nazar Aate hai yakinan in badmazhab ne Quran ko padha hi nahi hai aur padha to khawarij k Dastarkwhan se padha hai.*

3⃣ *AULIYA ALLAH KI SHAAN ME MANQABAT PADHNE KA SABOOT*

*_Mankabat Auliya Allah Ki Shaan me padha Jaata Hai Ab Dekhe Quran E Karim Me Kitni Shan E Auliya Khud Rab Taala Ne Bayan Ki Hai Puri ki puri Surah Kahaf utar di un Hazrat Isaa ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ki Ummat k Auliya k shaan Me Yaha tak k unke Kutte ka bhi Tazkira Kiya wo sote kaise the karwat kaise lete the Aur Wo ALLAH ki Nishaniya the._*

*Surah Mariam Sayyida Mariam ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻬﺎ k Naam Se Jo Auliya E Kamila thi. Hazrat Khizr ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ ka Tazkira, Sayyida Asiya ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻬﺎ tazkira ka Surah Tehrim Ayat 11 me Ye Kya hai Un Auliya Allah ki Shan Fazail Manakib Hi to hai ab Auliya Allah Ka tazkira biddat kaise huwa ?*

🔄 *To Be Continue......🔜🔜*💝

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites