*_NAMAZ MEIN KUL 7 FARZ HAIN:_*
*_NAAM:_*
*1. Takbir E Tahreema*
*2. Qayaam*
*3. Qira’at*
*4. Ruku’*
*5. Sajda*
*6. Qa’dah e Akhirah*
*7. Khuruj e Bisun’ihi*
Huqum: *_Upar zikr kiye gaye farzon mein se koi bhi bila uzr e sahi qasdan ho ya bhool kar agar chhut jaye to namaz faasid ho jayegi, bahr soorat namaz lautani padegi, sajda e sahw se kaam nahin chalega._*
*FARAIZ E NAMAZ KI TAFSEELAAT*
*1. Takbir e Tahreema:*
_Iska bayan sharayet e namaz mein guzar chuka._
*2. Qayaam:*
_Yani khada hona, qayaam ki kam se kam had ye hai k hath ko agar niche ki taraf badhaye to ghutnon tak na pahunche, aur pura qayaam ye hai ki seedha khada ho, ba-sharte ki koi uzr na ho, farz, witr, sunnat e fajr, juma’ aur eidain ki namazon mein qayaam farz hai, nafl namazein baith kar padhi ja sakti hai._
*3. Qira’at:*
_Yani farz ki 2 rak’aton mein, witr, sunnat aur nafl ki sab rak’aton mein, imam aur munfarid ( tanha namaz padhne wale) par mutlaqan qira’at farz hai, ya’ni Qur’an mein se kam az kam ek chhoti ayat ki miqdar padhna._
*Mas’ala:*
_Imam ke pichhe padhne walon ko kisi bhi namaz mein qira’at jaiz nahin, na surah Fatiha na aur koi surah._
*4. Ruku’:*
_Y’ani ruku’ ke liye itna jhukna ki hath badhaye to ghutnon tak pahunch jaye, ye ruku’ ki kam se kam had hai aur pura ruku’ ye hai ki peeth seedhi bichha de._
*5. Sajda:*
_Y’ani peshani ka zameen par tik jana sajde ki haqeeqat hai, aur paun ki ek ungli ka pet zameen par lagna sajde ke liye shart hai, lihaza haalat e sajda mein donon paun zameen se uthe rahe to namaz na hui, sirf ungli ki nok zameen par lagana kaafi nahin hai, har rak’at ke donon sajde farz hain._
*6. Qa’dah e akhirah:*
_Y’ani namaz ki sab rak’atien puri karne ke b’ad itni der baithna ki puri *“attahiyyaatu....’abduhu wa Rasooluhu”* tak paadhi ja sake._
*7. Khuruj e Bi-sun’ihi:*
_Y’ani qa’dah e akhirah ke b’ad salam wagaira koi aisa f’el karna jo namaz ke manafi ho, ki agar us kaam ko namaz ke andar kiya jata to namaz tut jati, magar khayal rahe salam ke alawa namaz ke manafi koi f’el bil- Qasad paya gaya to farz ada ho gaya magar namaz wajib-ul-i’ada hogi, kyunki lafz *“as-salam”* kehna wajib hai._
📚 *Masail E Sajda E Sahw*

No comments:
Post a Comment