*【POST 03】*

*NAMAZ KE WAJIBAAT AUR UNKI TAFSEELAAT*

*_Mandarja e zel baatein namaz ke liye wajib aur zaroori hain, agar in mein se koi wajib bhool kar chhut gaya to sajda e sahw wajib hai, aur agar jaan-bujh kar chhoda to sajda e sahw se kaam nahin chalega, namaz dobara padhni padegi._*

_1) *Takbir e Tahreema mein lafz “ALLAHU Akbar” kehna*_

_2) *Surah Fatiha ko is tarah padhna ki uska ek lafz bhi na chhute*_

_3) *Surah Fatiha ke b’ad kam se kam 3 chhoti ayatein ya ek badi ayat jo 3 Chhoti ayaton ke barabar ho padhna*_

_4) *Farz namaz ki pehli 2 ra’katon mein surah Fatiha ke sath surah milana*_

_5) *Witr, sunnat aur nafl ki har ra’kat mein “Alhamdu… ” ke sath surah milana*_

_6) *Alhamdu sharif ka surah se pehle padhna*_

_7) *Surah padhne se pehle Alhamdu sharif sirf ek hi bar padhna*_

_8) *Alhamdu sharif aur surah ke darmiyaan fasl na karna y’ani aameen kehne aur Bismillah sharif ke alawa kuchh na padhna, na hi khamosh rehna*_

_9) *Qira’at ke b’ad foran ruku’ karna*_

_10) *Qauma y’ani ruku’ se seedha khada hona, aur kam se kam ek bar "Sub’han ALLAH" kehne ki miqdaar theharna*_

_11) *Har ra’kat mein ek hi ruku’ hona*_

_12) *Har ra’kat mein 2 sajde hona, 2 se kam ya 2 se zyada na hona*_

_13) *2 sajde ke darmiyaan jalsa y’ani seedha baithna*_

_14) *Ek sajde ke b’ad foran dusra sajda karna ki donon ke darmiyaan koi rukn faasil na ho*_

_15) *Sajda karte waqt donon paun ki 3 -3 ungliyon ka pet zameen par lagana*_

📚 *Masail E Sajda E Sahw*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites