*【POST 04】*

_16) *T’adeel e arkaan y’ani har rukn ko itminaan se ada karna y’ani ruku’, sajda, qauma aur jalse mein ek bar Sub’han ALLAH kehne ki miqdaar theharna.*_

_17) *Dusri ra’kat se pehle qa’dah na karna*_

_18) *Qa’dah e ula karna agarche nafl namaz ho*_

_19) *Qa’dah e ula aur qa’dah e akhirah mein puri “Attahiyyat” padhna.*_

_20) *Farz, witr, aur sunnat e mokadah ke qa’dah e ula mein “Attahiyyat” ke b’ad kuchh na padhna, na khamosh baithe sochte rehna*_

_21) *4 ra’kat ki namaz mein teesri ra’kat par qa’dah na karna aur chauthi ke liye foran khade ho jana*_

_22) *Jehri namazon mein imam ka buland awaaz se qira’at karna*_

_23) *Sirri namazon mein imam aur munfarid (tanha namaz padhne wala) ko aahista qira’at karna*_

_24) *Witr mein dua e qunoot ke liye takbir ALLAHU Akbar kehna*_

_25) *Witr ki namaz mein dua e qunoot padhna*_

_26) *Eidain ki namaz mein 6 zayed takbirein kehna*_

_27) *Eidain ki namaz mein dusri ra’kat ke ruku’ mein jane ke liye “ALLAHU Akbar” kehna*_

_28) *Ayat e sajda padhne par sajda e tilawat karna*_

_29) *Sajda e sahw wajib hone ki soorat mein sajda e sahw karna*_

_30) *Har farz aur har wajib ko apni jagah ada karna y’ani tarteeb ke khilaaf na karna*_

_31) *2 farz ya 2 wajib ya wajib aur farz ke darmiyaan 3 martaba
“Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar waqfa na karna*_

_32) *Jehri aur sirri namazon mein imam ke pichhe ba-waqt e qira’at chup rehna*_

_33) *Qira’at ke siwa tamam wajibaat mein imam ki mutabe’at karna*_

_34) *Donon salam mein lafz “As-salam” kehna, alaykum wajib nahin.*_

📚 *Masail E Sajda E Sahw*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites