*【POST 06】*

_15) *Qayaam ki haalat mein thodi der ek paun par zor dena thodi der dusre paun par wazan dena*_

_16) *Imam aur munfarid (tanha namaz padhne wala) ko sana’, Auzubillah, aur Bismillah padhna aur aahista padhna aur muqtadi ko sirf sana’ padhna*_

_17) *Pehle Sana’ phir Auzubillah iske b’ad Bismillah padhna aur inke darmiyaan waqfa na karna*_

_18) *Eidain ki Takbir E Tahreema ke b’ad Imam aur muqtadi ko sana’ padhna aur takbiraat e waajiba ke b’ad y’ani pehli rak’at ki chauthi takbir ke b’ad sirf Imam ka T’auuz aur Tasmiyah padhna*_

_19) *Surah Fatiha khatm hone par Aameen kehna aur Aameen aahista kehna*_

_20) *Pehli rak’at ke b’ad har rak’at ko Bismillah padh kar shuru’ karna*_

_21) *Ruku’ mein jate waqt ALLAHU AKBAR kehna*_

_22) *Ruku’ mein kam se kam 3 bar “Sub’hana Rabbiyal Azeem” kehna*_

_23) *Ruku’ ki haalat mein mard ka ghutnon ko haathon se pakadna aur haathon ki ungliyon ko khoob khuli hui rakhna*_

_24) *Ruku’ mein aurat ka sirf ghutnon par haath rakhna aur ungliyon ko mili hui rakhna*_

_25) *Ruku’ mein mard ka itna jhukna ki peeth seedhi ho jaye*_

_26) *Aurat ka sirf itna jhukna ki haath ghutnon tak pahunch jaye*_

_27) *Ruku’ mein mard ka sar ko peeth ke barabar rakhna na bilkul jhukaye na uncha karke rakhe*_

_28) *Aurat sar ko peeth se uncha rakhe*_

_29) *Mard ka ruku’ ki haalat mein taangon ko tedhi na rakhna bilkul seedhi rakhna*_

_30) *Aurton ko ruku’ mein taangon ko tedhi rakhna mardon ki tarah seedhi na rakhna*_

_31) *Ruku’ se khade hone ke liye Imam ka “samiALLAHU liman hamidah” kehna aur buland awaaz se kehna*_

_32) *Muqtadiyon ko ruku’ se khade hone ke liye “Rabbana lakal hamd” ya “Rabbana wa lakal hamd” kehna*_

_33) *Tanha farz namaz padhne wale ko “samiALLAHU liman hamidah” aur “Rabbana lakal hamd” donon kehna*_

📚 *Masail E Sajda E Sahw*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites