*NAMAZ KE MUSTAHIBAAT AUR UNKI TAFSEELAAT*
*_Mustahab wo hai jis ki adayegi par ajr o sawab milega aur chhodne par kisi qism ka azaab o ‘ataab na hoga phir bhi jahan tak ho sake isko ada karne ki koshish karni chahiye taaki namaz ke husn o sawab mein izafa ho._*
_1. *Niyyat ke alfaaz ‘arabi zaban mein ada karna*_
_2. *Mard ka hath agar chadar wagaira kapde mein chhupa hua ho to takbir e tahreema ke waqt hath ko bahar nikaalna. Aurat ko apna hath chhupaye rakhna*_
_3. *Baghair musalla aur chatayi wagaira bichhaye huye khuli zameen par namaz padhna (jabki jagah saaf suthri ho)*_
_4. *Qayaam mein sajde ki jagah nazar rakhna*_
_5. *Surah Fatiha ke b’ad jab koi surah shuru’ se padhe to pehle Bismillah padhna*_
_6. *Muqtadi ka imam ke sath namaz shuru’ karna taakhir na karna*_
_7. *Haalat e ruku’ mein qadam ki pusht par nazar rakhna*_
_8. *Sajda karte waqt naak ki taraf nazar rakhna*_
_9. *Qa’dah mein god ki taraf nazar rakhna*_
_10. *Pehle Salam mein dayein shaane ki taraf, aur dusre salam mein bayein shaane ki taraf nazar rakhna*_
_11. *Jamahi aaye to munh ko band rakhne ki koshish karna aur agar na ruke to hont ko daanton se daba dena. Agar phir bhi na ruke to qayaam ki haalat mein daahine hath ki pusht se munh band kar lena. Qayaam ke alawa bayein hath ki pusht se munh ko band karna*_
_12. *Hattal imkaan khansi aaye to isko rokna*_
_13. *Jab mukabbir Hayya ‘alal falaah kahe tab hi imam aur muqtadi ka khade hona*_
_14. *Aur jab Qadqaamatis-salaah kahe to namaz shuru’ karna magar behtar hai ki iqamat puri hone par shuru’ kare*_
*JAMAHI ROKNE KA MUJARRAB AMAL*
*_Jamahi rokne ka mujarrab amal ye hai ki dil mein khayal kare ki Ambiya e Kiram ko jamahi nahin aati thi, ye khayal karte hi jamahi In sha ALLAH Ta’ala ruk jayegi._*
*_(Namaz ke sharayet, faraiz, wajibaat, sunan aur mustahibaat jo upar bayan huye wo sab ke sab Durre Mukhtar, Raddul Muhtar, Alamgiri, Fatawa Razaviyya aur Bahar e Shariat wagaira mustanad kitabon se maakhuz hain)_*
📚 *Masail E Sajda E Sahw Safa 14 15*

No comments:
Post a Comment