*【POST 10】*

*SAJDA E SAHW KI HAQEEQAT*

*Sahw ka ma’ana hai bhoolna, namaz mein jo baatein wajib hain in mein se agar koi wajib bhool kar chhut jaye to namaz mein kami zyadati ho jati hai, *maslan farz ki pehli 2 rak’aton mein, nafl, sunnat aur witr ki har rak’at mein Alhamdu sharif ka ek bar padhna wajib hai.*

_Agar bhool kar Alhamd chhut jaye to namaz mein kami ho gayi aur 2 bar padh liya to zyadati ho gayi jis se namaz mein nuqsaan aa gaya, is qism ke nuqsaan ko dur karne ke liye shariat ne sajda e sahw (bhool ka sajda) karne ka hukm diya hai, sajda e sahw kar lene se namaz puri ho jati hai lautane ki zarurat nahin hoti albatta sajda e sahw wajib hone ki soorat mein agar na kiya gaya to namaz dobara padhni wajib hai_

*haan agar sajda e sahw karne ke liye mauqa aur mahal na raha to saaqit ho jayega maslan fajr ki namaz mein sahw hua abhi pehla salam phera tha ki sooraj nikal aaya to sajda e sahw saaqit ho gaya, yun hi juma’ aur eidain ki namaz mein zyada hujum ki wajah se imam ne sahw ki soorat mein sajda e sahw nahin kiya to bhi namaz ho jayegi lautane ki zarurat nahin.*

_KHAYAL RAHE: *Namaz mein agar koi farz jaise ruku’ o sujood chhut gaya bhool kar ho ya qasdan (jaan-bujh kar) ya koi wajib qasdan chhod diya to phir sajda
e sahw se kaam nahin chalega, namaz lautani hi padegi.*_

📚 *Masail E Sajda E Sahw Safa 15*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites