*SAJDA E SAHW WAJIB HONE KI SOORATEIN*
_1. *Namaz ke wajibaat mein se koi wajib bhool kar chhut jaye maslan farz ki pehli 2 rak’aton mein surah Fatiha bhool jaye ya surah milana bhool jaye*_
_2. *Ya kisi wajib ko us ki jagah se muqaddam ya muakhkhar (aage ya pichhe ) kar de maslan surah pehle padhe aur Alhamd iske b’ad padhe*_
_3. *Ya kisi wajib ki adayegi mein ek rukn y’ani 3 bar Sub’han ALLAH kehne ki miqdaar khada sochta raha ki kya padhun?*_
_4. *Ya kisi wajib ko dobara ada kare, maslan surah Fatiha ko farz ki pehli 2 rak’aton mein 2 - 2 bar padhe ya sirf pehli mein 2 bar padhe.*_
_5. *Ya kisi wajib ko badal de maslan imam jehri namaz mein aahista aur sirri mein buland awaaz se qira’at kare*_
_6. *Ya namaz ke farzon mein se kisi farz ko uski jagah se hata kar b’ad mein ada kare maslan pehle sajda b’ad mein ruku’ kare*_
_7. *Ya kisi farz ko mukarrar ada kare y’ani jis farz ko ek rak’at mein ek hi bar ada karna hai us ko 2 bar ada kare jaise ruku’ 2 bar ada kare ya jis farz ko 2 martaba ada karna hai us ko 2 se zyada bar ada kare maslan ek rak’at mein 2 sajde ke bajaye 3 ya 4 sajde kare. In sab sooraton mein sajda e sahw wajib hai.*_
📚 *Masail E Sajda E Sahw Safa 16*

No comments:
Post a Comment