*SAJDA E SAHW KE 3 TAREEQE*
*_TAREEQA NO.1_*
*_Sajda e sahw kisi kami ki wajah se wajib hua ho ya kisi zyadati ki wajah se isko ada karne ke liye Hanafi maslak mein 3 tareeqe hain. Pehla tareeqa ye ki aakhri qa’dah mein puri attahiyyaat padhne ke bad dahini (seedhi ) taraf salam phere, iske ba’d 2 sajde kare aur donon sajdon mein hasbe dastoor “Sub’hana Rabbiyal a’la” padhe, phir sajde se sar utha kar qa’dah mein baithe aur dobara attahiyyaat, durood sharif aur dua e maasura padh kar namaz se nikalne ke liye donon taraf salam phere._*
📗 *(Alamgiri pg. 65, J1)*
_Mas’ala:- *Sajda e sahw ke waqt attahiyyaat ke b’ad agar salam nahin phera aur sajda e sahw kar liya to bhi jaiz hai magar aisa karna makrooh e tanzihi hai.*_
📘 *(Alamgiri pg. 65 J1)*
_Mas’ala: *Agar bhool kar donon taraf salam pher diya aur fouran yaad aa gaya ki sajda e sahw karna hai to usi waqt sajda e sahw kare phir attahiyyaat wagirah padh kar salam phere, namaz ho gayi, ba-sharte ki koi aisi chiz jo namaz ke manafi ho na payi gayi ho, magar qasdan donon taraf salam pher diya aur yaad tha ki sajda e sahw karna hai to is soorat mein namaz lautani padegi, sajda e sahw se kaam na chalega.*_
📙 *(Alamgiri pg. 65 J1, Fatawa Razaviyya pg. 638, J 4)*
_Mas’ala:
*Agar munh saamne kiye huye salam ke alfaaz kahe chehra phera nahin aur sajda e sahw kar liya to bhi namaz ho gayi lautane ki zarurat nahin. Imam Fakhrul Islam Alaihir Rahma ne isi ko ikhtiyaar farmaya hai.*_
📔 *(Fatawa Amjadiya, pg. 281, J1)*
*TAREEQA NO. 2:*
*_Dusra tareeqa ye hai ke aakhri qa’dah mein attahiyyaat, durood sharif aur dua padh kar dahini taraf salam phere aur sahw ke liye 2 sajde kare, phir qa’dah mein baith kar sirf attahiyyaat padhe aur donon taraf salam phere, durood sharif aur dua padhne ki zarurat nahin._*
📓 *(Fatawa Amjadiya pg. 281, J1)*
*TAREEQA NO. 3:*
*_Teesra tareeqa ye hai ki aakhri qa’dah mein attahiyyaat, durood sharif aur dua padh kar dahini taraf salam phere aur sahw ke 2 sajde kare, phir baith kar qa’dah mein dobara attahiyyaat, durood sharif aur dua e maasura padh kar donon taraf salam phere._*
📕 *(Alamgiri pg. 65, J 1, Fatawa Amjadiya pg. 281, J 1)*
*_Hazrat e Sadrush Shari’ah Maulana Amjad Ali Sahab Azmi Musannif e Bahar e Shari’at Alaihir Rahma war-ridwan mazkura teenon tareeqon ke bare mein farmate hain, sab durust hain in mein se koi soorat makruh bhi nahin hai aur ye sab tareeqe mazhab e Hanafi ke mutabiq hain._*
📒 *(Fatawa Amjadiya pg. 281 J 1)*
_Mas’ala: *Behtar aur ehtiyaat ye hai ki dono qa’adon mein attahiyyaat ke ba’d durood sharif padhe ya’ni sajda e sahw se pehle aur ba’d.*_
📖 *(Alamgiri pg. 65, J 1)*
📚 *Masail E Sajda E Sahw Safa 16 17 18.*

No comments:
Post a Comment