*【POST 13】*

💫 *SAJDA E SAHW SE MUTA’LLIQ CHAND AHADEES E KAREEMA*💫

_Hadith: *Hazrat e Mughira bin Sh’uba radi ALLAHU Ta’ala Anhu se marwi hai ki Nabi Kareem ﷺ ek roz 2 rak’at padh kar khade ho gaye baithe nahin phir salam ke b’ad sajda e sahw kiya.*_

📘 *(Tirmizi Sharif ba-hawala Bahar e Shari’at Pg.28 J 4)*

_Hadith: *Sayyiduna Abdullah Bin Mas’ood Radi ALLAHU Ta’ala Anhu se marwi hai k Sayyid E Aalam ﷺ ne zuhar ki namaz 5 raka’tein padhayein to Aap ne salam ke b’ad sahw ke 2 sajde kiye.*_

📙 *(Bada’i As-sana’i pg. 183 J 1)*

_Hadith: *Sayyiduna Imran ibne Haseen Radi ALLAHU Ta’ala Anhu se marwi hai ke Huzur e Akram ﷺ ne sahw ke sajde salam ke b’ad kiye, is hadith ko Hazrat e Imran ke alawa Ummul Mu’minin Aisha Siddiqa, Sayyiduna Abu Huraira, Sayyiduna Mughirah bin Shu’ba aur Sayyiduna Sa’ad bin Waqqaas Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen ne bhi riwayat kiya hai.*_

📕 *(Bada’i As-sana’i pg. 183 J 1)*

_Hadith: *Hazrat Sayyiduna Saubaan Radi ALLAHU Ta’ala Anhu se marwi hai ki Rasool e Akram ﷺ ne farmaya ki sahw ke liye salam ke b’ad 2 sajde hain.*_

📗 *(Bada’i As-sana’i pg. 183 J 1)*

_Hadith: *Sayyiduna Abdullah ibne Mas’ud Radi ALLAHU Ta’ala Anhu se marwi hai ki Sayyid e Aalam ﷺ ne farmaya: Jis ko apni namaz mein shak ho jaye aur uski samajh mein na aaye ki 3 ra’katein padhi hain ya 4? to wo sawaab ko ikhtiyar kare (y’ani jitni ra’kat par dil jam jaye) usi par bina kare (y’ani agar 3 padhne par dil jamta hai to ek aur padh le aur 4 par jamta hai to qa’dah mein baith jaye) aur 2 sajde (sahw ke ) salam ke b’ad kare.*_

📓 *(Bada’i As-sana’i pg. 183 J 1)*

_Hadith: *Sayyiduna Amirul Mu’minin Umar e Farooq Radi ALLAHU Ta’ala Anhu se marwi hai ki Huzur Sayyid E Aalam ﷺ ne farmaya: jo muqtadi imam ke pichhe hain unke sahw ka aitbaar nahin. Agar imam ko sahw hua to sajda e sahw imam aur muqtadi donon par hai.*_

📔 *(Bazaz, Baihaqi, ba-hawala Fatawa Razaviyya pg. 641, J 3)*

📚 *Masail E Sajda E Sahw Safa 18 19.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites