▶️ _Iss Unwan Ke Tahet In Baato Ko Zere Bahes Laya Gaya Hai :_
*(a) Waqiya Kya Hai?*
*(b) Iss Waqiye Ko Likhne Walon Ki Mahanat*
*(c) Iss Qisse Ki Haqiqat Hazrat Allama Abdus Salaam Qadri K Qalam Se*
*(d)Tahqeeq Ki Kasauti*
*(e) Khulasa*
📍 *(A) Waqiya Kya Hai?*
↪️ _Waqiye Karbala K Hawale Se Jo Jhoote Waqiyat Bayan Kiye Jate Hai In Me Fatima Sughra Ka Qissa Bhi Shamil Hai_
✳️ *_Ye Kuchh Iss Tarha Hai K Jab Imam Hussain Madina Se Rawana Huye To Apni Beti Ko Yani Fatima Sughra Ko Akela Chhod Diya Aur Makka -e- Mukarrama Phir Wahan Se Karbala Tashreef Le Gaye_*
❇️ _Idhar Hazrat Fatima Sughra Madine Me Tanha Aur Bimari Me Mubtala Thi Phir Iss Qisse Ko Dardnak Banane K Liye Kuchh Likhne Waloon Ne Kafi Mahnat Ki Hai Aur Iss Andaz Se Likha Hai Ke Padhne Aur Sunne Waale Apne Aansuo Par Qaabu Na Rakh Sakein._
📍 *(B) Iss Qisse Ko Likhne Walon Ki Mahnat :*
📌 *_Waise Toh Iss Waqiye Ko Kai Logo Ne Apni Kitabo Me Naqal Kiya Hai Lekin Ham Yahan Sirf Do Kitabo Ka Zikr Karenge_*
📃 _Khak -e- Karbala Aur Shaheed Ibne Shaheed Naami Kitabo Me Ye Waqiya Jis Dhang Se Likha Gaya Hai, Agar Ise Jun Ka Tun Mahafil Me Bayan Kar Diya Jaye Toh Log Bina Matam Kiye To Nahi Uthenge Aur Kisi Peshawar Muqarrir Ne Thoda Sa Aur Namak Mirch Laga Kar Bayan Kiya To Andesha Hai K Log Apne Kapde Chaak Kar Lein In Kitabo Me Sirf Ek Yahi Waqiya Nahi Balki Doosre Waqiyat Ko Bi Iss Andaz Me Likha Gaya Hai K Jise Padh Kar Log Khub Roye Ab Aaiye Dekhte Hai Ke Hazrate Fatima Sughra Ke Iss Qisse Ki Haqiqat Kya Hai?_
📍 *(C) Iss Qisse Ki Haqiqat Hazrat Allama Abdus Salaam Qadri Ki Qalam Se :*
▶️ _Waqiye Karbala Par Likhi Jane Wali Mash'hoor Kitab Me Se Ek "Shahadat Nawasaye Sayedul Abrar" Hai_
*_Sahabe Kitab, Hazrat Allama Abdus Salam Qadri Ne Iss Me Ek Unwan Likha Hai "Waqiya -e- Sayeda Fatima Sughra Binte Hussain-l : Tahqiq Ki Kasauti Par" Aur Iss Unwan Ke Tahet Likhte Hai Ke Imaam Hussain Ki Do Shahzadiyo Me Se Ek Hazrate Sakina Aur Dosari Hazrate Fatima Sughra Hain_*
✴️ _Doosri Shahazadi K Talluq Se Jo Qissa Mash'hoor Kiya Gaya Hai. Wo Arbi Ki Motabar Kutube Tawarikh Wagaira Me Kahi Nahi Hai Aur Urdu Ki Likhi Gai Motabar Kitabo Me Bi Iss Ki Koi Asal Nahi Hai. Agar Iss Waqiye To Tahqiq Ki Kasauti Par Bhi Rakha Jaye To Bilkul Be Asal Hai_
❇️ *_Hazrate Fatima Sughra Ki Shadi Imam Husan Ke Bete Hazrate Hasan Musanna Se Ho Chuki Thi Aur Imam Hussain Ki Rawangi K Waqat Aap Apne Shohar K Ghar Me Madina Taiba Me Maujud Thi_*
📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 5,6*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment