_Arz:- Huzur Kya Jin Wa Pari Bhi Musalmaan Hote Hai?_
_*Irshad:- Haan.*_
📖 _Tafsir Ul Quraan Ul Azim_
📌 *Musalmaan Pari Ki Hikaayat:*
_*(Aur Isi Tazkira Me Farmaya Ek Pari Mushraf Ba Islam Hui Aur Akshar Khidmat E Aqdas Me Hazir Huwa Karti Thi Ek Bar Arsa Tak Hazir Na Hui. Jab Hazir Hui Sabab Dariyafat Framaya.Arz Ki Huzur Mere Ek Aziz Ka Hindustaan Me Inteqaal Ho Gaya Tha Waha Gayi Thi. Rah Me Maine Dekha Ke Ek Pahad Par Iblis Namaz Pad Raha Hai Maine Uski Yeh Nai Bat Dekh Kar Kaha Ke Tera Kaam To Namaz Se Gafil Kar Dena Hai Tu Khud Kaise Namaz Padta Hai? Usne Kaha Shayd Rab Ul Izzat Meri Namaz Qabul Farmaye Aur Mujhe Bakhs De.*_
💫 *Peer Ke Wisal Ke Bad Kisi Aur Se Bait Hona Kaisa.*💫
_Arz: Zaid, Mohammad Sher Miyan Sahab Pilibhiti (Rehamtullahhadi) Se Bait Huwa. Thoda Arsa Huwa Ke Unka Wisaal Ho Gaya Ab Aur Ka Murid Ho Sakta Hai?_
_*Irshad:- Tabdil E Bait Bila Wajh Sharai Mamnu Hai Aur Tajdid Jaiz Balke Musthab Hai. Silsila Aliya Qadriyah Me (Murid) Na Huwa Ho Aur Apne Shaikh Se Baigair Ahraaf Ke (Yani Bait Tode Bagair) Is Silsila Me Bait Kare Yeh Tabdil E Bait Nahi Balke Tajdeed Hai Ke Jamil Salasil Is Silasila Ala (Yani Silsila Qadriyah) Ki Taraf Rajeh Yani Mutwaja) Hai.*_
💫 *Murid Hona Is Se Sikho*💫
_(Is Silsile Me Irshaad Huwa) Tin Qalandar E Nizam Ul Haq Walidain Mehboob E Illahi Quds Sir Ul Aziz Ki Khidmat Me Hazir Hue Aur Khana Manga. Khudam Ko Laane Ka Hukm Farmaya. Khudam Ne Jo Kuch Us Waqt Maujud Tha, Unke Samne Rakha. Un Me Se Ek Ne Wo Khana Uthaa Kar Phenk Dia Aur Kaha : "Acha Khana Lau". Hazrat Ne Us Nash'ata Harkat Ka Kuch Khayal Na Farmaya. Khudam Ko Is Se Acha Laane Ka Hukm Farmaya. Khudaam Pehle Se Achha Khana Laya, Unhone Phir Phenk Dia Aur Is Se Bhi Acha Manga. Hazrat Ne Ache Ka Hukm Dia.Garz Unhone Is Bar Bhi Phenk Dia Aur Is Se Bhi Acha Manga Is Par Us Qalandar Ko Apne Pass Bulaya Aur Kaan Me Irshad Farmaya :_
_*Ke Yeh Khana Is Murdaar Bail Se To Acha Tha Jo Tumne Rasta Me Khaya. Yeh Sunte Hi Qalandar Ka Haal Mutgair (Yani Tabdil) Huwua. Rah Me Tin Faqo Ke Bad Ek Mara Huwa Bail Jisme Kide Pad Gaye They Mila Tha, Uska Gosht Kha Kar Aaye They. Qalandar Huzur Ke Qadmo Par Gira Huzur Ne Uska Sar Uthha Kar Apne Sine Se Laga Liy Aur Jo Kuch Ata Farmana Tha Ata Farma Dia. Us Waqt Wo Wajd Me Raqs Karta Aur Yeh Kahta Tha Ke Mere Murshid Ne Mujhe Naimat Ata Farmai Hai. Hazirin Ne Kaha: Bewkoof Jo Kuch Tujhe Mila Wo Hazrat Ka Ata Kia Huwa Hai, Yaha Tak To Tu Bilkul Khali Aya Tha. Kaha : Bewkoof Tum Ho Agar Mere Murshid Ne Mujh Par Nazar Na Ki Hoti To Huzur Kyon Nazar Farmate, Yeh Usi Nazar Ka Zariyah Hai. Is Par Hazrat Ne Kaha : Yeh Sach Kahta Hai Aur Farmaya : Bhaiyon ! Murid Hona Is Se Sikho."*_
*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 48,49,50.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment