*【POST 09】Gaaye Ki Qurbaani*

_Ek Roz (Ala Hazrat Rehamtullah Allay) Bad Namaz E Asar Masjid Se Tashrif Laye. Us Waqt Hazrin Me Maulana Amjad Ali Sahab Azmi (Allay Rehmtullah Gani) Bhi They: Risala Anfusal Fikr Fi Qurbaan Ul Baqr" Un Dono Tabah Ho Raha Tha. Is Me Molvi Abdul Hayi Sahab Ke Do Fatwe Ke Qurbaani Gao Se Mutliq They, Is Risala Me Naqal Kiye Gaye They Isi Risala Ki Nisbat Tazkira Ho Raha Tha. Un Fatwo Ka Bhi Zikar Aya Is Par Maualana Se Famraya:_


_*Irshad:- Molvi Sahab Hinud (Yani Hinduo) Ke Dhoke Me Aa Gaye, Musalmano Ke Khilaf Fatwa Likh Dia. Tambiyah (Yani Samajane) Par Mutnabad (Yani Khabardar) Hue. Yahi Sawal Mere Pass Bhi Aya Tha Bafazal Ta'la Bangah E Awalin (Yani Pehli Nazar Me) Makr E Makaara (Yani Makaaro Ki Chalaki) Pehchan Gaya Aur Kur Ba Kashtan Roz E Awal Baid" (Yani Burai Ko Pehle Hi Di Se Rok Dena Chaiye.) Par Amal Kia.*_

*Wallahul Hamd.*


💫 *Apne Faham Par Aitmaad Kiye Nuqsanaat*


_Arz:- Huzur In Ke Fatawe Dekhne Se Malum Huwa Ke Un Aksar Aqwal Mutaariz (Yani Mutzaad) Hai Aur Yeh Isliye Ke Yeh Apne Faham Par Bada Aitmad Karte They._


_*Irshaad:- Han Apne Feham Par Aitmaad Aur Wo Bhi Aima E Kiram Ke Muqabala Par, Kahi Likhte Hai:*_


📖 _*Tarjuma* Abu Hanifa Ke Liye Kai Tarah Dalil Laye Aur Sab Batil Hai. KahiAbu Hanifa Ne Yun Kaha Aur Haq Yu Hai."_


*_Imaam Mohammad Radiallahu Ta'la Anho Ko Kahte Hai_*


_Yaha Kitaab Wale Ka Ek Aur Waham Hai."_


_*Admi Ko Apni Haalat Ka Lihaj Zaroor Rahe Na Ke Apne Ko Bhule Ya Sitaish E Mardum (Yani Admiyon Ke Tarif Karne) Par Bhule, Apne Nafs Ka Ilm To Huzuri Hai. Ulma Ne Ibne Taimiyah Ko Likha Hai : Uska Ilm Uski Aqal Se Bada Hai. Ilm Nafeh Wo Jiski Sath Fuqahat Ho.*_


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 50,51.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites